yunhi wabastagi nahin hoti
yūñhī vābastagī nahīñ hotī
duur se dostī nahīñ hotī
jab diloñ meñ ġhubār hotā hai
Dhañg se baat bhī nahīñ hotī
chāñd kā husn bhī zamīn se hai
chāñd par chāndnī nahīñ hotī
jo na guzre parī-vashoñ meñ kabhī
kaam kī zindagī nahīñ hotī
din ke bhūle ko raat Dastī hai
shaam ko vāpsī nahīñ hotī
aadmī kyuuñ hai vahshatoñ kā shikār
kyuuñ junūñ meñ kamī nahīñ hotī
ik maraz ke hazār haiñ nabbāz
phir bhī tashḳhīs hī nahīñ hotī
yunhi wabastagi nahin hoti
dur se dosti nahin hoti
jab dilon mein ghubar hota hai
Dhang se baat bhi nahin hoti
chand ka husn bhi zamin se hai
chand par chandni nahin hoti
jo na guzre pari-washon mein kabhi
kaam ki zindagi nahin hoti
din ke bhule ko raat Dasti hai
sham ko wapsi nahin hoti
aadmi kyun hai wahshaton ka shikar
kyun junun mein kami nahin hoti
ek maraz ke hazar hain nabbaz
phir bhi tashKHis hi nahin hoti
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.