Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ye kya ki ek jahan ko karo waqf-e-iztirab

Sufi Ghulam Mustafa Tabassum

ye kya ki ek jahan ko karo waqf-e-iztirab

Sufi Ghulam Mustafa Tabassum

MORE BYSufi Ghulam Mustafa Tabassum

    ye kyā ki ik jahāñ ko karo vaqf-e-iztirāb

    ye kyā ki ek dil ko shakebā na kar sako

    aisā na ho ye dard bane dard-e-lā-davā

    aisā na ho ki tum bhī mudāvā na kar sako

    shāyad tumheñ bhī chain na aa.e mire baġhair

    shāyad ye baat tum bhī gavārā na kar sako

    kyā jaane phir sitam bhī mayassar ho na ho

    kyā jaane ye karam bhī karo na kar sako

    allāh kare jahāñ ko mirī yaad bhuul jaa.e

    allāh kare ki tum kabhī aisā na kar sako

    mere sivā kisī na ho tum ko justujū

    mere sivā kisī tamannā na kar sako

    ye kya ki ek jahan ko karo waqf-e-iztirab

    ye kya ki ek dil ko shakeba na kar sako

    aisa na ho ye dard bane dard-e-la-dawa

    aisa na ho ki tum bhi mudawa na kar sako

    shayad tumhein bhi chain na aae mere baghair

    shayad ye baat tum bhi gawara na kar sako

    kya jaane phir sitam bhi mayassar ho ya na ho

    kya jaane ye karam bhi karo ya na kar sako

    allah kare jahan ko meri yaad bhul jae

    allah kare ki tum kabhi aisa na kar sako

    mere siwa kisi ki na ho tum ko justuju

    mere siwa kisi ki tamanna na kar sako

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Sufi Ghulam Mustafa Tabassum

    Sufi Ghulam Mustafa Tabassum

    Farida Khanum

    Farida Khanum

    Saiyyan Chaudhry

    Saiyyan Chaudhry

    Farida Khanum

    Farida Khanum

    Saiyyan Chaudhry

    Saiyyan Chaudhry

    Source :
    • Book : Beesveen Sadi Ki Behtareen Ishqiya Ghazlen (Pg. 140)
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now