ye jabr bhi hai bahut iKHtiyar karte hue
ye jabr bhī hai bahut iḳhtiyār karte hue
guzar rahī hai tirā intizār karte hue
kalī khilī to usī ḳhush-suḳhan kī yaad aa.ī
sabā bhī ab ke chalī sogvār karte hue
tire badan ke gulistāñ kī yaad aatī hai
ḳhud apnī zaat ke sahrā ko paar karte hue
ye dil kī raah chamaktī thī aa.ine kī tarah
guzar gayā vo use bhī ġhubār karte hue
ḳhud apne haath kī haibat se kaañp jaatā huuñ
kabhī kabhī kisī dushman pe vaar karte hue
ye jabr bhi hai bahut iKHtiyar karte hue
guzar rahi hai tera intizar karte hue
kali khili to usi KHush-suKHan ki yaad aai
saba bhi ab ke chali sogwar karte hue
tere badan ke gulistan ki yaad aati hai
KHud apni zat ke sahra ko par karte hue
ye dil ki rah chamakti thi aaine ki tarah
guzar gaya wo use bhi ghubar karte hue
KHud apne hath ki haibat se kanp jata hun
kabhi kabhi kisi dushman pe war karte hue
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.