Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ye ek shajar ki jis pe na kanTa na phul hai

Shahryar

ye ek shajar ki jis pe na kanTa na phul hai

Shahryar

ye ik shajar ki jis pe na kāñTā na phuul hai

saa.e meñ us ke baiTh ke ronā fuzūl hai

rātoñ se raushnī talab haa.e sādgī

ḳhvāboñ meñ us diid ḳhū kaisī bhuul hai

hai un ke dam-qadam se kuchh ābrū-e-zīst

dāman meñ jin ke dasht-e-tamannā dhuul hai

sūraj qahr sirf barahna saroñ pe hai

pūchho havas-parast se vo kyuuñ malūl hai

aao havā ke haath talvār chuum leñ

ab buz-diloñ fauj se laḌnā fuzūl hai

ye ek shajar ki jis pe na kanTa na phul hai

sae mein us ke baiTh ke rona fuzul hai

raaton se raushni ki talab hae sadgi

KHwabon mein us ki did ki KHu kaisi bhul hai

hai un ke dam-qadam hi se kuchh aabru-e-zist

daman mein jin ke dasht-e-tamanna ki dhul hai

suraj ka qahr sirf barahna saron pe hai

puchho hawas-parast se wo kyun malul hai

aao hawa ke hath ki talwar chum len

ab buz-dilon ki fauj se laDna fuzul hai

Source :
  • Book : sooraj ko nikalta dekhoon (Pg. 29)
0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now