Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ye ghazab baiThe-biThae tujh pe kya nazil hua

Jurat Qalandar Bakhsh

ye ghazab baiThe-biThae tujh pe kya nazil hua

Jurat Qalandar Bakhsh

ye ġhazab baiThe-biThā.e tujh pe kyā nāzil huā

uTh chalā duniyā se kyuuñ tujh ko ai dil kyā huā

shakl aisī banā.ī hai tirī allāh ne

mat ḳhafā ho gar huā maiñ tujh pe maa.il kyā huā

in dinoñ hālat tirī paatā huuñ maiñ apnī yaar

ḳhūb-rū tujh koī tere muqābil kyā huā

ai but-e-ḳhūñ-ḳhvār ik zaḳhmī tire kūche meñ thā

so ka.ī din se ḳhudā jaane vo ghāyal kyā huā

zañg ho kar qais dil kārvāñ-dar-kārvāñ

nit ye kahtā hai ki vo lailā mahmil kyā huā

fikr-e-marham mat karo yaaro ye batlāo mujhe

jis ke hāthoñ maiñ huā zaḳhmī vo qātil kyā huā

thā jigar to TukḌe TukḌe bar meñ kyuuñ taḌpe hai

kyuuñ dilā teġh-e-jafā se bhī bismil kyā huā

ranjisheñ aisī hazār aapas meñ hotī haiñ dilā

vo agar tujh se ḳhafā hai mil kyā huā

apne begāne sabhī haiñ mat uThā mahfil se yaar

gar kisī Dhab se huā yaañ maiñ bhī dāḳhil kyā huā

dekhte terī sūrat mujh ko ai ā.īna-rū

saḳht hairat hai ki pahlū meñ nahīñ dil kyā huā

soch rah rah kar yahī aatā hai ai 'jur.at' mujhe

ḳhalq karne se mire ḳhāliq ko hāsil kyā huā

ye ghazab baiThe-biThae tujh pe kya nazil hua

uTh chala duniya se kyun tu tujh ko ai dil kya hua

shakl hi aisi banai hai teri allah ne

mat KHafa ho gar hua main tujh pe mail kya hua

in dinon haalat teri pata hun main apni si yar

KHub-ru tujh sa koi tere muqabil kya hua

ai but-e-KHun-KHwar ek zaKHmi tere kuche mein tha

so kai din se KHuda jaane wo ghayal kya hua

zang ho kar qais ka dil karwan-dar-karwan

nit ye kahta hai ki wo laila ka mahmil kya hua

fikr-e-marham mat karo yaro ye batlao mujhe

jis ke hathon main hua zaKHmi wo qatil kya hua

tha jigar to TukDe TukDe bar mein kyun taDpe hai tu

kyun dila tegh-e-jafa se tu bhi bismil kya hua

ranjishen aisi hazar aapas mein hoti hain dila

wo agar tujh se KHafa hai tu hi ja mil kya hua

apne begane sabhi hain mat uTha mahfil se yar

gar kisi Dhab se hua yan main bhi daKHil kya hua

dekhte hi teri surat mujh ko ai aaina-ru

saKHt hairat hai ki pahlu mein nahin dil kya hua

soch rah rah kar yahi aata hai ai 'jurat' mujhe

KHalq karne se mere KHaliq ko hasil kya hua

0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now