Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ye dil-jami jiye jab tak jiye jina usi ka hai

Shad Azimabadi

ye dil-jami jiye jab tak jiye jina usi ka hai

Shad Azimabadi

ye dil-jam.ī jiye jab tak jiye jiinā usī hai

piye jo sair ho ke raat din piinā usī hai

nigah barchhiyāñ jo sah sake siinā usī hai

hamārā aap jiinā nahīñ jiinā usī hai

tasavvur us ruḳh-e-sāfī rakh madd-e-nazar nādāñ

lagā.e muñh jo ā.īne ko ā.īna usī hai

ye bazm-e-mai hai yaañ kotāh-dastī meñ hai mahrūmī

jo baḌh kar ḳhud uThā le haath meñ miinā usī hai

kadar ho ki saafī sab ko kar mast ho jaa.e

ye ham rindoñ piinā kuchh nahīñ piinā usī hai

tamāshā dekhnā ġhairoñ ke ghar ko phūñk kar kaisā

jo apnī aag meñ jal jaa.e ḳhud kiina usī hai

fazā-e-dahr meñ ye sair-gah jis ne banā hai

tamāshā.ī jahāñ meñ dīda-e-bīnā usī hai

basar ho mai-kade meñ panj-shamba baiTh kar jis

jo mai-noshī meñ kar de sub.h ādīna usī hai

umīdeñ jab baḌheñ had se tilismī saañp haiñ nāseh

jo toḌe ye tilism ai dost ganjīna usī hai

mubārak haiñ ye sab rāteñ jo piine meñ kaTeñ rindo

guzāre yuuñ jo shab hafte ādīna usī hai

ḳhudā-lagtī kahe ai 'shād' jo is pair ke haq meñ

yaqīñ samjho duā-go bhī ye derīna usī hai

kudūrat se dil apnā saaf rakkho 'shād' piirī hai

ki jis ko muñh dikhānā hai ye ā.īna usī hai

ye dil-jami jiye jab tak jiye jina usi ka hai

piye jo sair ho ke raat din pina usi ka hai

nigah ki barchhiyan jo sah sake sina usi ka hai

hamara aap ka jina nahin jina usi ka hai

tasawwur us ruKH-e-safi ka rakh madd-e-nazar nadan

lagae munh jo aaine ko aaina usi ka hai

ye bazm-e-mai hai yan kotah-dasti mein hai mahrumi

jo baDh kar KHud uTha le hath mein mina usi ka hai

kadar ho ya ki safi sab ko pi kar mast ho jae

ye hum rindon ka pina kuchh nahin pina usi ka hai

tamasha dekhna ghairon ke ghar ko phunk kar kaisa

jo apni aag mein jal jae KHud kina usi ka hai

faza-e-dahr mein ye sair-gah jis ne bana di hai

tamashai jahan mein dida-e-bina usi ka hai

basar ho mai-kade mein panj-shamba baiTh kar jis ka

jo mai-noshi mein kar de subh aadina usi ka hai

umiden jab baDhen had se tilismi sanp hain naseh

jo toDe ye tilism ai dost ganjina usi ka hai

mubarak hain ye sab raaten jo pine mein kaTen rindo

guzare yun jo shab hafte ki aadina usi ka hai

KHuda-lagti kahe ai 'shad' jo is pair ke haq mein

yaqin samjho dua-go bhi ye derina usi ka hai

kudurat se dil apna saf rakkho 'shad' piri hai

ki jis ko munh dikhana hai ye aaina usi ka hai

0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now