ye aalam shauq ka dekha na jae
ye aalam shauq kā dekhā na jaa.e
vo but hai yā ḳhudā dekhā na jaa.e
ye kin nazroñ se tū ne aaj dekhā
ki terā dekhnā dekhā na jaa.e
hamesha ke liye mujh se bichhaḌ jā
ye manzar bār-hā dekhā na jaa.e
ġhalat hai jo sunā par aazmā kar
tujhe ai bevafā dekhā na jaa.e
ye mahrūmī nahīñ pās-e-vafā hai
koī tere sivā dekhā na jaa.e
yahī to āshnā bante haiñ āḳhir
koī nā-āshnā dekhā na jaa.e
ye mere saath kaisī raushnī hai
ki mujh se rāsta dekhā na jaa.e
'farāz' apne sivā hai kaun terā
tujhe tujh se judā dekhā na jaa.e
ye aalam shauq ka dekha na jae
wo but hai ya KHuda dekha na jae
ye kin nazron se tu ne aaj dekha
ki tera dekhna dekha na jae
hamesha ke liye mujh se bichhaD ja
ye manzar bar-ha dekha na jae
ghalat hai jo suna par aazma kar
tujhe ai bewafa dekha na jae
ye mahrumi nahin pas-e-wafa hai
koi tere siwa dekha na jae
yahi to aashna bante hain aaKHir
koi na-ashna dekha na jae
ye mere sath kaisi raushni hai
ki mujh se rasta dekha na jae
'faraaz' apne siwa hai kaun tera
tujhe tujh se juda dekha na jae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.