Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

us sham wo ruKHsat ka saman yaad rahega

Ibn e Insha

us sham wo ruKHsat ka saman yaad rahega

Ibn e Insha

us shaam vo ruḳhsat samāñ yaad rahegā

vo shahr vo kūcha vo makāñ yaad rahegā

vo Tiis ki ubhrī thī idhar yaad rahegī

vo dard ki uTThā thā yahāñ yaad rahegā

ham shauq ke shole lapak bhuul bhī jaa.eñ

vo sham-e-fasurda dhuāñ yaad rahegā

haañ bazm-e-shabāna meñ hama-shauq jo us din

ham the tirī jānib nigarāñ yaad rahegā

kuchh 'mīr' ke abyāt the kuchh 'faiz' ke misre

ik dard thā jin meñ bayāñ yaad rahegā

āñkhoñ meñ sulagtī huī vahshat ke jilau meñ

vo hairat o hasrat jahāñ yaad rahegā

jāñ-baḳhsh us barg-e-gul-e-tar tarāvat

vo lams-e-azīz-e-do-jahāñ yaad rahegā

ham bhuul sake haiñ na tujhe bhuul sakeñge

yaad rahegā hameñ haañ yaad rahegā

us sham wo ruKHsat ka saman yaad rahega

wo shahr wo kucha wo makan yaad rahega

wo Tis ki ubhri thi idhar yaad rahegi

wo dard ki uTTha tha yahan yaad rahega

hum shauq ke shole ki lapak bhul bhi jaen

wo sham-e-fasurda ka dhuan yaad rahega

han bazm-e-shabana mein hama-shauq jo us din

hum the teri jaanib nigaran yaad rahega

kuchh 'mir' ke abyat the kuchh 'faiz' ke misre

ek dard ka tha jin mein bayan yaad rahega

aankhon mein sulagti hui wahshat ke jilau mein

wo hairat o hasrat ka jahan yaad rahega

jaan-baKHsh si us barg-e-gul-e-tar ki tarawat

wo lams-e-aziz-e-do-jahan yaad rahega

hum bhul sake hain na tujhe bhul sakenge

tu yaad rahega hamein han yaad rahega

RECITATIONS

Nomaan Shauque

Nomaan Shauque,

Nomaan Shauque

us sham wo ruKHsat ka saman yaad rahega Nomaan Shauque

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now