dil mein rakhta hai na palkon pe biThata hai mujhe
dil meñ rakhtā hai na palkoñ pe biThātā hai mujhe
phir bhī ik shaḳhs meñ kyā kyā nazar aatā hai mujhe
saarī āvāzoñ ko sannāTe nigal jā.eñge
kab se rah rah ke yahī ḳhauf satātā hai mujhe
ye alag baat ki din meñ mujhe rakhtā hai niDhāl
raat kī zad se to sūraj hī bachātā hai mujhe
ik na.e qahr ke imkān se bojhal hai fazā
āsmāñ dhund meñ lipTā nazar aatā hai mujhe
tazkira itnā huā ruuh kī ālūdgī kā
jism sad-chāk bhī ā.īna dikhātā hai mujhe
dil mein rakhta hai na palkon pe biThata hai mujhe
phir bhi ek shaKHs mein kya kya nazar aata hai mujhe
sari aawazon ko sannaTe nigal jaenge
kab se rah rah ke yahi KHauf satata hai mujhe
ye alag baat ki din mein mujhe rakhta hai niDhaal
raat ki zad se to suraj hi bachata hai mujhe
ek nae qahr ke imkan se bojhal hai faza
aasman dhund mein lipTa nazar aata hai mujhe
tazkira itna hua ruh ki aaludgi ka
jism sad-chaak bhi aaina dikhata hai mujhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.