Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ya rab meri hayat se gham ka asar na jae

Fana Nizami Kanpuri

ya rab meri hayat se gham ka asar na jae

Fana Nizami Kanpuri

rab mirī hayāt se ġham asar na jaa.e

jab tak kisī zulf-e-pareshāñ sañvar na jaa.e

vo aañkh kyā jo aariz o ruḳh par Thahar na jaa.e

vo jalva kyā jo diida o dil meñ utar na jaa.e

mere junūñ ko zulf ke saa.e se duur rakh

raste meñ chhāñv ke musāfir Thahar na jaa.e

maiñ aaj gulsitāñ meñ bulā luuñ bahār ko

lekin ye chāhtā huuñ ḳhizāñ ruuTh kar na jaa.e

paidā hue haiñ ab to masīhā na.e na.e

bīmār apnī maut se pahle mar na jaa.e

kar hai tauba is liye vaa.iz ke sāmne

ilzām-e-tishnagī mire saaqī ke sar na jaa.e

saaqī pilā sharāb magar ye rahe ḳhayāl

ālām-e-rozgār chehrā utar na jaa.e

maiñ us ke sāmne se guzartā huuñ is liye

tark-e-ta.alluqāt ehsās mar na jaa.e

masrūr-e-dīd-e-husn hai is vāste 'fanā'

duniyā ke aib par kabhī merī nazar na jaa.e

ya rab meri hayat se gham ka asar na jae

jab tak kisi ki zulf-e-pareshan sanwar na jae

wo aankh kya jo aariz o ruKH par Thahar na jae

wo jalwa kya jo dida o dil mein utar na jae

mere junun ko zulf ke sae se dur rakh

raste mein chhanw pa ke musafir Thahar na jae

main aaj gulsitan mein bula lun bahaar ko

lekin ye chahta hun KHizan ruTh kar na jae

paida hue hain ab to masiha nae nae

bimar apni maut se pahle hi mar na jae

kar li hai tauba is liye waiz ke samne

ilzam-e-tishnagi mere saqi ke sar na jae

saqi pila sharab magar ye rahe KHayal

aalam-e-rozgar ka chehra utar na jae

main us ke samne se guzarta hun is liye

tark-e-talluqat ka ehsas mar na jae

masrur-e-did-e-husn hai is waste 'fana'

duniya ke aib par kabhi meri nazar na jae

Videos
This video is playing from YouTube

Videos
This video is playing from YouTube

Fana Nizami Kanpuri

Fana Nizami Kanpuri

RECITATIONS

Nomaan Shauque

Nomaan Shauque,

Fana Nizami Kanpuri

Fana Nizami Kanpuri,

Nomaan Shauque

ya rab meri hayat se gham ka asar na jae Nomaan Shauque

Fana Nizami Kanpuri

ya rab meri hayat se gham ka asar na jae Fana Nizami Kanpuri

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now