Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

jab honge KHas-o-am ke kirdar surKH surKH

Safdar Haron Ansari

jab honge KHas-o-am ke kirdar surKH surKH

Safdar Haron Ansari

MORE BYSafdar Haron Ansari

    jab hoñge ḳhās-o-'ām ke kirdār surḳh surḳh

    phir kyuuñ na hoñge daur ke aḳhbār surḳh surḳh

    jis samt us kā ghar thā mire ghar se munsalik

    ab bhī haiñ us kī samt kī dīvār surḳh surḳh

    itnā shadīd ranj thā mujh ko ki ho ga.e

    ashkoñ se mere zānū-e-ġham-ḳhvār surḳh surḳh

    ik phuul toḌte hue kāñTā lagā unheñ

    haiñ aaj gul ke ḳhuuñ se lab-e-ḳhār surḳh surḳh

    kaaTā nahīñ thā jin ko samar-bār dekh kar

    haiñ vo tamām shāḳh-e-samar-bār surḳh surḳh

    mausūm kar ke vaqt-guzārī se 'ishq ko

    kyuuñ aap ne kiyā dil-e-bīmār surḳh surḳh

    'safdar' ye ḳhūn-e-dil hai yā hai koī rang-e-gul

    yā phir haiñ fitratan hī lab-e-yār surḳh surḳh

    jab honge KHas-o-'am ke kirdar surKH surKH

    phir kyun na honge daur ke aKHbar surKH surKH

    jis samt us ka ghar tha mere ghar se munsalik

    ab bhi hain us ki samt ki diwar surKH surKH

    itna shadid ranj tha mujh ko ki ho gae

    ashkon se mere zanu-e-gham-KHwar surKH surKH

    ek phul toDte hue kanTa laga unhen

    hain aaj gul ke KHun se lab-e-KHar surKH surKH

    kaTa nahin tha jin ko samar-bar dekh kar

    hain wo tamam shaKH-e-samar-bar surKH surKH

    mausum kar ke waqt-guzari se 'ishq ko

    kyun aap ne kiya dil-e-bimar surKH surKH

    'safdar' ye KHun-e-dil hai ya hai koi rang-e-gul

    ya phir hain fitratan hi lab-e-yar surKH surKH

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Click on any word to get its meaning

    Jashn-e-Rekhta 11th Edition | 29-30-31 Jan, 2027 Buy Tickets

    Speak Now