bhaTka bhaTka phirta hun
bhaTkā bhaTkā phirtā huuñ
goyā sūkhā pattā huuñ
saath zamāna hai lekin
tanhā tanhā rahtā huuñ
dhaḌkan dhaḌkan zaḳhmī hai
phir bhī hañstā rahtā huuñ
jab se tum ko dekhā hai
ḳhvāb hī dekhā kartā huuñ
tum par harf na aa jaa.e
dīvāroñ se Dartā huuñ
mujh par to khul jā 'shahzād'
maiñ to terā apnā huuñ
bhaTka bhaTka phirta hun
goya sukha patta hun
sath zamana hai lekin
tanha tanha rahta hun
dhaDkan dhaDkan zaKHmi hai
phir bhi hansta rahta hun
jab se tum ko dekha hai
KHwab hi dekha karta hun
tum par harf na aa jae
diwaron se Darta hun
mujh par to khul ja 'shahzad'
main to tera apna hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.