sham aankhon mein aankh pani mein
shaam āñkhoñ meñ aañkh paanī meñ
aur paanī sarā-e-fānī meñ
jhilmilāte haiñ kashtiyoñ meñ diye
pul khaḌe so rahe haiñ paanī meñ
ḳhaak ho jā.egī zamīn ik din
āsmānoñ kī āsmānī meñ
vo havā hai use kahāñ DhūñDūñ
aag meñ ḳhaak meñ ki paanī meñ
aa pahāḌoñ kī tarah sāmne aa
in dinoñ maiñ bhī huuñ ravānī meñ
sham aankhon mein aankh pani mein
aur pani sara-e-fani mein
jhilmilate hain kashtiyon mein diye
pul khaDe so rahe hain pani mein
KHak ho jaegi zamin ek din
aasmanon ki aasmani mein
wo hawa hai use kahan DhunDun
aag mein KHak mein ki pani mein
aa pahaDon ki tarah samne aa
in dinon main bhi hun rawani mein
- Book : Aamad (Pg. 49)
- Author : Bashir Badar
- Publication : M.R. Publications (2009)
- Edition : 2009
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.