Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

har-chand be-nawa hai kore ghaDe ka pani

Aslam Kolsarii

har-chand be-nawa hai kore ghaDe ka pani

Aslam Kolsarii

har-chand be-navā hai kore ghaḌe paanī

dīvān 'mīr' hai kore ghaḌe paanī

uploñ aag ab tak hāthoñ se jhāñktī hai

āñkhoñ meñ jāgtā hai kore ghaḌe paanī

jab māñgte haiñ saare añgūr ke sharāre

apnī yahī sadā hai kore ghaḌe paanī

kāġhaz pe kaise Thahreñ misre mirī ġhazal ke

lafzoñ meñ bah rahā hai kore ghaḌe paanī

ḳhāna-ba-dosh chhorī taktī hai chorī chorī

us to aa.ina hai kore ghaḌe paanī

chiḌiyoñ chahchahā.eñ panghaT pe jab bhī sakhiyāñ

chup-chāp ro diyā hai kore ghaḌe paanī

us ke lahū meñ shāyad tāsīr ho vafā

jis ne kabhī piyā hai kore ghaḌe paanī

izzat zamīr mehnat dānish hunar mohabbat

lekin kabhī bikā hai kore ghaḌe paanī

dekhūñ jo chāñdnī meñ lagtā hai mujh ko 'aslam'

pighlī huī duā hai kore ghaḌe paanī

har-chand be-nawa hai kore ghaDe ka pani

diwan 'mir' ka hai kore ghaDe ka pani

uplon ki aag ab tak hathon se jhankti hai

aankhon mein jagta hai kore ghaDe ka pani

jab mangte hain sare angur ke sharare

apni yahi sada hai kore ghaDe ka pani

kaghaz pe kaise Thahren misre meri ghazal ke

lafzon mein bah raha hai kore ghaDe ka pani

KHana-ba-dosh chhori takti hai chori chori

us ka to aaina hai kore ghaDe ka pani

chiDiyon si chahchahaen panghaT pe jab bhi sakhiyan

chup-chap ro diya hai kore ghaDe ka pani

us ke lahu mein shayad tasir ho wafa ki

jis ne kabhi piya hai kore ghaDe ka pani

izzat zamir mehnat danish hunar mohabbat

lekin kabhi bika hai kore ghaDe ka pani

dekhun jo chandni mein lagta hai mujh ko 'aslam'

pighli hui dua hai kore ghaDe ka pani

Tagged Under

0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now