Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ajib manzar hai barishon ka makan pani mein bah raha hai

Shakeel Azmi

ajib manzar hai barishon ka makan pani mein bah raha hai

Shakeel Azmi

ajiib manzar hai bārishoñ makān paanī meñ bah rahā hai

falak zamīñ hudūd meñ hai nishān paanī meñ bah rahā hai

tamām fasleñ ujaḌ chukī haiñ na hal bachā hai na bail baaqī

kisān girvī rakhā huā hai lagān paanī meñ bah rahā hai

azaab utrā to paañv sab ke zamīñ sat.hoñ se aa lage haiñ

havā ke ghar meñ nahīñ hai koī machān paanī meñ bah rahā hai

koī kisī ko nahīñ bachātā sab apnī ḳhātir tairte haiñ

ye din qayāmat din ho jaise jahān paanī meñ bah rahā hai

udaas āñkhoñ ke bādaloñ ne diloñ ke gard-o-ġhubār dho.e

yaqīn patthar banā khaḌā hai gumān paanī meñ bah rahā hai

ajib manzar hai barishon ka makan pani mein bah raha hai

falak zamin ki hudud mein hai nishan pani mein bah raha hai

tamam faslen ujaD chuki hain na hal bacha hai na bail baqi

kisan girwi rakha hua hai lagan pani mein bah raha hai

azab utra to panw sab ke zamin ki sathon se aa lage hain

hawa ke ghar mein nahin hai koi machan pani mein bah raha hai

koi kisi ko nahin bachata sab apni KHatir hi tairte hain

ye din qayamat ka din ho jaise jahan pani mein bah raha hai

udas aankhon ke baadalon ne dilon ke gard-o-ghubar dhoe

yaqin patthar bana khaDa hai guman pani mein bah raha hai

Source :
  • Book : Dil Parinda Hai (Pg. 35)
  • Author : Shakeel Azmi
  • Publication : Rekhta Publications (2023)
  • Edition : First

Tagged Under

0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now