Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

bahaar aai kisi ka samna karne ka waqt aaya

Shakeel Badayuni

bahaar aai kisi ka samna karne ka waqt aaya

Shakeel Badayuni

bahār aa.ī kisī sāmnā karne vaqt aayā

sambhal ai dil ki iz.hār-e-vafā karne vaqt aayā

unheñ āmāda-e-mehr-o-vafā karne vaqt aayā

baḌī muddat meñ arz-e-mudda.ā karne vaqt aayā

ravāñ haiñ apne markaz taraf āsūda ummīdeñ

hujūm-e-yās ko dil se judā karne vaqt aayā

phir ik gum-karda-rāh-e-zindagī ko mil ga.ī manzil

sujūd-e-shukr-e-be-pāyāñ adā karne vaqt aayā

kabhī duurī thī lekin ab ḳhayāl-e-ḳhauf-e-dūrī hai

fuġhāñ sā.ateñ guzrīñ duā karne vaqt aayā

kahāñ tak ḳhatm rahtā darmiyāñ par dil afsāna

bil-āḳhir darmiyāñ se ibtidā karne vaqt aayā

har ik jurm-e-mohabbat us nigāh-e-lutf ke sadqe

naved-e-āfiyat le kar ḳhatā karne vaqt aayā

nigāh o dil se ab tafsīr-o-sharh-e-āzrū hogī

zabān o lab se tark-e-iltijā karne vaqt aayā

vo aate haiñ 'shakīl' ab apne dil se haath dho baiTho

nigāh-e-nāz qīmat adā karne vaqt aayā

bahaar aai kisi ka samna karne ka waqt aaya

sambhal ai dil ki izhaar-e-wafa karne ka waqt aaya

unhen aamada-e-mehr-o-wafa karne ka waqt aaya

baDi muddat mein arz-e-muddaa karne ka waqt aaya

rawan hain apne markaz ki taraf aasuda ummiden

hujum-e-yas ko dil se juda karne ka waqt aaya

phir ek gum-karda-rah-e-zindagi ko mil gai manzil

sujud-e-shukr-e-be-payan ada karne ka waqt aaya

kabhi duri thi lekin ab KHayal-e-KHauf-e-duri hai

fughan ki saaten guzrin dua karne ka waqt aaya

kahan tak KHatm rahta darmiyan par dil ka afsana

bil-aKHir darmiyan se ibtida karne ka waqt aaya

har ek jurm-e-mohabbat us nigah-e-lutf ke sadqe

nawed-e-afiyat le kar KHata karne ka waqt aaya

nigah o dil se ab tafsir-o-sharh-e-azru hogi

zaban o lab se tark-e-iltija karne ka waqt aaya

wo aate hain 'shakil' ab apne dil se hath dho baiTho

nigah-e-naz ki qimat ada karne ka waqt aaya

Videos
This video is playing from YouTube

Videos
This video is playing from YouTube

Usha Chinoy

Usha Chinoy

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now