wo ahd-e-masarrat ki baaten wo waqt suhana bhul gae
vo 'ahd-e-masarrat kī bāteñ vo vaqt suhānā bhuul ga.e
jab se ġham-e-duniyā yaad aayā sab lutf-e-zamānā bhuul ga.e
ḳhāmosh hai go bazm-e-ulfat jaatī hī nahīñ dil kī vahshat
jis sham' kī zau thī mahfil meñ vo sham' bujhānā bhuul ga.e
tanzīm-e-gulistāñ kī dhun meñ ab shāḳh-e-nasheman yaad nahīñ
ai gardish-e-daurāñ ḳhush ho le ham apnā Thikānā bhuul ga.e
jab hañsne hañsāne ke din the ham aaTh pahar rote hī rahe
ab vaqt jo aayā rone kā ham ashk bahānā bhuul ga.e
andoh kī maarī duniyā meñ kuchh apnī zabāñ se keh na sake
auroñ ke fasāne sun sun kar ham apnā fasānā bhuul ga.e
ai barbat-e-jāñ dukh sahne de be-ḳhvāb shabistāñ rahne de
jis gat pe hameñ niiñd aatī thī vo gat hī bajānā bhuul ga.e
ai tundī-e-sahbā dushman-e-ġham kaifiyyat-e-'ālam dekh ke ham
shīshe ko lagā kar hoñToñ se phir us ko haTānā bhuul ga.e
ik shor-e-mai-o-mīnā le kar ham TuuT paḌe angāroñ par
hushyār banā kar duniyā ko ḳhud hosh meñ aanā bhuul ga.e
is daur-e-talātum meñ 'vāmiq' kitne hī safīne khe Daale
aur TuuTī huī kashtī apnī maujoñ se bachānā bhuul ga.e
wo 'ahd-e-masarrat ki baaten wo waqt suhana bhul gae
jab se gham-e-duniya yaad aaya sab lutf-e-zamana bhul gae
KHamosh hai go bazm-e-ulfat jati hi nahin dil ki wahshat
jis sham' ki zau thi mahfil mein wo sham' bujhana bhul gae
tanzim-e-gulistan ki dhun mein ab shaKH-e-nasheman yaad nahin
ai gardish-e-dauran KHush ho le hum apna Thikana bhul gae
jab hansne hansane ke din the hum aaTh pahar rote hi rahe
ab waqt jo aaya rone ka hum ashk bahana bhul gae
andoh ki mari duniya mein kuchh apni zaban se keh na sake
auron ke fasane sun sun kar hum apna fasana bhul gae
ai barbat-e-jaan dukh sahne de be-KHwab shabistan rahne de
jis gat pe hamein nind aati thi wo gat hi bajaana bhul gae
ai tundi-e-sahba dushman-e-gham kaifiyyat-e-'alam dekh ke hum
shishe ko laga kar honTon se phir us ko haTana bhul gae
ek shor-e-mai-o-mina le kar hum TuT paDe angaron par
hushyar bana kar duniya ko KHud hosh mein aana bhul gae
is daur-e-talatum mein 'wamiq' kitne hi safine khe Dale
aur TuTi hui kashti apni maujon se bachana bhul gae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.