insha-ji uTho ab kuch karo is shahr mein ji ko lagana kya
Interesting Fact
This ghazal, written in the early 1970s, became very popular. Amanat Ali Khan died a few months later when he sang it. When Amanat Ali Khan's son Asad Amanat Ali also sang this ghazal, it proved to be his last ghazal. Ibn Ansha himself wrote in a letter to a friend the day before his death that how ominous this ghazal was and how many lives it has taken.
'inshā'-jī uTho ab kuuch karo is shahr meñ jī ko lagānā kyā
vahshī ko sukūñ se kyā matlab jogī kā nagar meñ Thikānā kyā
is dil ke darīda dāman ko dekho to sahī socho to sahī
jis jholī meñ sau chhed hue us jholī kā phailānā kyā
shab biitī chāñd bhī Duub chalā zanjīr paḌī darvāze meñ
kyuuñ der ga.e ghar aa.e ho sajnī se karoge bahānā kyā
phir hijr kī lambī raat miyāñ sanjog kī to yahī ek ghaḌī
jo dil meñ hai lab par aane do sharmānā kyā ghabrānā kyā
us roz jo un ko dekhā hai ab ḳhvāb kā aalam lagtā hai
us roz jo un se baat huī vo baat bhī thī afsānā kyā
us husn ke sachche motī ko ham dekh sakeñ par chhū na sakeñ
jise dekh sakeñ par chhū na sakeñ vo daulat kyā vo ḳhazānā kyā
us ko bhī jalā dukhte hue man ik sho.ala laal bhabūkā ban
yuuñ aañsū ban bah jaanā kyā yuuñ maaTī meñ mil jaanā kyā
jab shahr ke log na rastā deñ kyuuñ ban meñ na jā bisrām kare
dīvānoñ kī sī na baat kare to aur kare dīvānā kyā
'insha'-ji uTho ab kuch karo is shahr mein ji ko lagana kya
wahshi ko sukun se kya matlab jogi ka nagar mein Thikana kya
is dil ke darida daman ko dekho to sahi socho to sahi
jis jholi mein sau chhed hue us jholi ka phailana kya
shab biti chand bhi Dub chala zanjir paDi darwaze mein
kyun der gae ghar aae ho sajni se karoge bahana kya
phir hijr ki lambi raat miyan sanjog ki to yahi ek ghaDi
jo dil mein hai lab par aane do sharmana kya ghabrana kya
us roz jo un ko dekha hai ab KHwab ka aalam lagta hai
us roz jo un se baat hui wo baat bhi thi afsana kya
us husn ke sachche moti ko hum dekh saken par chhu na saken
jise dekh saken par chhu na saken wo daulat kya wo KHazana kya
us ko bhi jala dukhte hue man ek shoala lal bhabuka ban
yun aansu ban bah jaana kya yun maTi mein mil jaana kya
jab shahr ke log na rasta den kyun ban mein na ja bisram kare
diwanon ki si na baat kare to aur kare diwana kya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.