hawa zalim sahi dil mein utarna chahti hai ab
havā zālim sahī dil meñ utarnā chāhtī hai ab
badan ke chappe chappe se guzarnā chāhtī hai ab
bahut achchhā ki saare aa.ine hī ho ga.e reze
mire andar kī 'ayyārī sañvārnā chāhtī hai ab
samundar jazb kar lenā badan ko yaḳh-zada karnā
ḳhalā se fīl-pā ātish bikharnā chāhtī hai ab
gunāhoñ ne mujhe baḳhshī hai shān-e-be-niyāzī par
gunahgārī mujhe mā'tūb karnā chāhtī hai ab
samundar par baras kar hī bahut nāzāñ jo bārish thī
magar vo ḳhvāb-gāhoñ meñ utarnā chāhtī hai ab
mujhe vahshat-zada kartī hai mere ḳhvāb meñ aa kar
vahī tā'bīr mujh meñ kyuuñ bikharnā chāhtī hai ab
havāoñ kā badan bhī TūTtā hai koh-sāroñ se
sunā hai dasht-o-sahrā meñ utarnā chāhtī hai ab
hawa zalim sahi dil mein utarna chahti hai ab
badan ke chappe chappe se guzarna chahti hai ab
bahut achchha ki sare aaine hi ho gae reze
mere andar ki 'ayyari sanwarna chahti hai ab
samundar jazb kar lena badan ko yaKH-zada karna
KHala se fil-pa aatish bikharna chahti hai ab
gunahon ne mujhe baKHshi hai shan-e-be-niyazi par
gunahgari mujhe ma'tub karna chahti hai ab
samundar par baras kar hi bahut nazan jo barish thi
magar wo KHwab-gahon mein utarna chahti hai ab
mujhe wahshat-zada karti hai mere KHwab mein aa kar
wahi ta'bir mujh mein kyun bikharna chahti hai ab
hawaon ka badan bhi TuTta hai koh-saron se
suna hai dasht-o-sahra mein utarna chahti hai ab
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.