dil ki aawaz ko be-maut na mara jae
dil kī āvāz ko be-maut na maarā jaa.e
aao ehsās ko lafzoñ meñ utārā jaa.e
jis ke jaane se hī vīrān huī hai mahfil
dil ye kahtā hai use phir se pukārā jaa.e
haa.e vo dar ke jahāñ zaḳhm mile dard milā
kaun pāgal hai ki us dar pe dubāra jaa.e
'ishq karnā hai to pākīza tarīqe se karo
'ishq ko rāh-e-havas se na guzārā jaa.e
vaqt kī gard meñ dabne do purāne qisse
bhar chuke zaḳhm ko phir se na ubhārā jaa.e
Duub kar bhī jo kināre pe pahuñch saktā ho
bas usī shaḳhs ko dariyā meñ utārā jaa.e
'monikā' pyaar se jiite haiñ jo rishte maiñ ne
chhoTī bātoñ pe unheñ kis liye haarā jaa.e
dil ki aawaz ko be-maut na mara jae
aao ehsas ko lafzon mein utara jae
jis ke jaane se hi viran hui hai mahfil
dil ye kahta hai use phir se pukara jae
hae wo dar ke jahan zaKHm mile dard mila
kaun pagal hai ki us dar pe dubara jae
'ishq karna hai to pakiza tariqe se karo
'ishq ko rah-e-hawas se na guzara jae
waqt ki gard mein dabne do purane qisse
bhar chuke zaKHm ko phir se na ubhaara jae
Dub kar bhi jo kinare pe pahunch sakta ho
bas usi shaKHs ko dariya mein utara jae
'monika' pyar se jite hain jo rishte main ne
chhoTi baaton pe unhen kis liye haara jae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.