wo sar se panw tak hai ghazab se bhara hua
vo sar se paañv tak hai ġhazab se bharā huā
maiñ bhī huuñ aaj josh-e-talab se bharā huā
shorish mire dimāġh meñ bhī koī kam nahīñ
ye shahr bhī hai shor-o-shaġhab se bharā huā
haañ ai havā-e-hijr hameñ kuchh ḳhabar nahīñ
ye shīsha-e-nashāt hai jab se bharā huā
miltā hai aadmī hī mujhe har maqām par
aur maiñ huuñ aadmī kī talab se bharā huā
Takrāo jā ke sub.h ke sāġhar se 'āftāb'
dil kā ye jaam va.ada-e-shab se bharā huā
wo sar se panw tak hai ghazab se bhara hua
main bhi hun aaj josh-e-talab se bhara hua
shorish mere dimagh mein bhi koi kam nahin
ye shahr bhi hai shor-o-shaghab se bhara hua
han ai hawa-e-hijr hamein kuchh KHabar nahin
ye shisha-e-nashat hai jab se bhara hua
milta hai aadmi hi mujhe har maqam par
aur main hun aadmi ki talab se bhara hua
Takrao ja ke subh ke saghar se 'aftab'
dil ka ye jam wada-e-shab se bhara hua
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.