Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

wo jo tere faqir hote hain

Abdul Hamid Adam

wo jo tere faqir hote hain

Abdul Hamid Adam

MORE BYAbdul Hamid Adam

    vo jo tere faqīr hote haiñ

    aadmī be-nazīr hote haiñ

    dekhne vaalā ik nahīñ miltā

    aañkh vaale kasīr hote haiñ

    jin ko daulat haqīr lagtī hai

    uff! vo kitne amiir hote haiñ

    jin ko qudrat ne husn baḳhshā ho

    qudratan kuchh sharīr hote haiñ

    zindagī ke hasīn tarkash meñ

    kitne be-rahm tiir hote haiñ

    vo parinde jo aañkh rakhte haiñ

    sab se pahle asiir hote haiñ

    phuul dāman meñ chand rakh liije

    rāste meñ faqīr hote haiñ

    hai ḳhushī bhī ajiib shai lekin

    ġham baḌe dil-pazīr hote haiñ

    ai 'adam' ehtiyāt logoñ se

    log munkir-nakīr hote haiñ

    wo jo tere faqir hote hain

    aadmi be-nazir hote hain

    dekhne wala ek nahin milta

    aankh wale kasir hote hain

    jin ko daulat haqir lagti hai

    uff! wo kitne amir hote hain

    jin ko qudrat ne husn baKHsha ho

    qudratan kuchh sharir hote hain

    zindagi ke hasin tarkash mein

    kitne be-rahm tir hote hain

    wo parinde jo aankh rakhte hain

    sab se pahle asir hote hain

    phul daman mein chand rakh lije

    raste mein faqir hote hain

    hai KHushi bhi ajib shai lekin

    gham baDe dil-pazir hote hain

    ai 'adam' ehtiyat logon se

    log munkir-nakir hote hain

    Source :
    • Book : Kulliyat-e-Adm (Pg. 682)
    • Author : Khwaja Mohammad Zakariya
    • Publication : Alhamd Publications, Lahore (2009)
    • Edition : 2009
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now