Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

wo jo nahin hain bazm mein bazm ki shan bhi nahin

Asar Rampuri

wo jo nahin hain bazm mein bazm ki shan bhi nahin

Asar Rampuri

vo jo nahīñ haiñ bazm meñ bazm shaan bhī nahīñ

phuul haiñ dilkashī nahīñ chāñd hai chāñdnī nahīñ

DhūñDā na ho jahāñ unheñ aisī jagah koī nahīñ

paa.ī kuchh un jab ḳhabar apnī ḳhabar milī nahīñ

aañkh meñ ho parakh to dekh husn se pur hai kul jahāñ

terī nazar hai qusūr jalvoñ kuchh kamī nahīñ

ishq meñ shikva kufr hai aur har iltijā harām

toḌ de kāsa-e-murād ishq gadāgarī nahīñ

josh-e-junūn-e-ishq ne kaam mirā banā diyā

ahl-e-ḳhirad kareñ muaaf hājat-e-āgahī nahīñ

uf ye nashīlī añkhḌiyāñ haa.e ye mastī-e-shabāb

maanā ki tum ne nahīñ kaun kahegā nahīñ

hijr shab guzar ga.ī phir bhī 'asar' ye haal hai

sāmne āftāb hai aur kahīñ raushnī nahīñ

wo jo nahin hain bazm mein bazm ki shan bhi nahin

phul hain dilkashi nahin chand hai chandni nahin

DhunDa na ho jahan unhen aisi jagah koi nahin

pai kuchh un ki jab KHabar apni KHabar mili nahin

aankh mein ho parakh to dekh husn se pur hai kul jahan

teri nazar ka hai qusur jalwon ki kuchh kami nahin

ishq mein shikwa kufr hai aur har iltija haram

toD de kasa-e-murad ishq gadagari nahin

josh-e-junun-e-ishq ne kaam mera bana diya

ahl-e-KHirad karen muaf hajat-e-agahi nahin

uf ye nashili ankhDiyan hae ye masti-e-shabab

mana ki tum ne pi nahin kaun kahega pi nahin

hijr ki shab guzar gai phir bhi 'asar' ye haal hai

samne aaftab hai aur kahin raushni nahin

Source :
  • Book : urdu kii chunii hu.ii gazale.n (Pg. 57)
  • Author : devendra issar
  • Publication : sahityaa parkaashak maalbaara delhi (1963)
  • Edition : 1963
0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now