Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

wo humse dur hote ja rahe hain

Shakeel Badayuni

wo humse dur hote ja rahe hain

Shakeel Badayuni

vo ham se duur hote rahe haiñ

bahut maġhrūr hote rahe haiñ

bas ik tark-e-mohabbat ke irāde

hameñ manzūr hote rahe haiñ

manāzir the jo firdaus-e-tasavvur

vo sab mastūr hote rahe haiñ

badaltī rahī hai dil duniyā

na.e dastūr hote rahe haiñ

bahut maġhmūm the jo dīda-o-dil

bahut masrūr hote rahe haiñ

vafā par murdanī chhā chalī hai

sitam nuur hote rahe haiñ

kabhī vo paas aa.e rahe the

magar ab duur hote rahe haiñ

firāq o hijr ke tārīk lamhe

sarāpā nuur hote rahe haiñ

'shakīl' ehsās-e-gumnāmī se kah do

ki ham mash.hūr hote rahe haiñ

wo hum se dur hote ja rahe hain

bahut maghrur hote ja rahe hain

bas ek tark-e-mohabbat ke irade

hamein manzur hote ja rahe hain

manazir the jo firdaus-e-tasawwur

wo sab mastur hote ja rahe hain

badalti ja rahi hai dil ki duniya

nae dastur hote ja rahe hain

bahut maghmum the jo dida-o-dil

bahut masrur hote ja rahe hain

wafa par murdani si chha chali hai

sitam ka nur hote ja rahe hain

kabhi wo pas aae ja rahe the

magar ab dur hote ja rahe hain

firaq o hijr ke tarik lamhe

sarapa nur hote ja rahe hain

'shakil' ehsas-e-gumnami se kah do

ki hum mashhur hote ja rahe hain

RECITATIONS

Nomaan Shauque

Nomaan Shauque,

00:00/00:00
Nomaan Shauque

wo humse dur hote ja rahe hain Nomaan Shauque

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now