wo dekhta hai yahi soch kar namaz paDhi
vo dekhtā hai yahī soch kar namāz paḌhī
hamesha 'ishq ke zer-e-asar namāz paḌhī
samay se qabl junūñ ke baġhair 'ishq kiyā
azaañ sunī na vuzū thā magar namāz paḌhī
maiñ zindagī ko musalsal safar samajhtā huuñ
so jab namāz paḌhī muḳhtasar namāz paḌhī
phir us se joḌ liyā rabt jis se toḌā thā
ġhalat paḌhī thī so bār-e-digar namāz paḌhī
qarīb thī koī masjid na paas jā-e-namāz
bichhā ke saaya sar-e-rahguzar namāz paḌhī
sunā hai pahle yahāñ aab dastyāb na thā
phir ik faqīr ne aa kar idhar namāz paḌhī
namāziyoñ ko ri'āyat hai tez bārish meñ
so jab bhī girya kiyā maiñ ne ghar namāz paḌhī
kahegā pahlī namāzeñ namāzeñ thiiñ hī nahīñ
tumhāre saath kisī ne agar namāz paḌhī
maiñ pāñch vaqt azānoñ pe sochtā huuñ use
kabhī qazā na huī vaqt par namāz paḌhī
hamāre sajde kabhī be-nishāñ nahīñ hote
zamīñ batā.egī ham ne kidhar namāz paḌhī
ik aisī zaat bhī hai jo kabhī nahīñ sotī
ye sun ke so na sakā raat bhar namāz paḌhī
wo dekhta hai yahi soch kar namaz paDhi
hamesha 'ishq ke zer-e-asar namaz paDhi
samay se qabl junun ke baghair 'ishq kiya
azan suni na wuzu tha magar namaz paDhi
main zindagi ko musalsal safar samajhta hun
so jab namaz paDhi muKHtasar namaz paDhi
phir us se joD liya rabt jis se toDa tha
ghalat paDhi thi so bar-e-digar namaz paDhi
qarib thi koi masjid na pas ja-e-namaz
bichha ke saya sar-e-rahguzar namaz paDhi
suna hai pahle yahan aab dastyab na tha
phir ek faqir ne aa kar idhar namaz paDhi
namaziyon ko ri'ayat hai tez barish mein
so jab bhi girya kiya main ne ghar namaz paDhi
kahega pahli namazen namazen thin hi nahin
tumhaare sath kisi ne agar namaz paDhi
main panch waqt azanon pe sochta hun use
kabhi qaza na hui waqt par namaz paDhi
hamare sajde kabhi be-nishan nahin hote
zamin bataegi hum ne kidhar namaz paDhi
ek aisi zat bhi hai jo kabhi nahin soti
ye sun ke so na saka raat bhar namaz paDhi
Aakhiri Tasveer
Buy This BookAdditional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.