Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

wo bhi kahta tha ki us gham ka mudawa hi nahin

Hasan Naim

wo bhi kahta tha ki us gham ka mudawa hi nahin

Hasan Naim

vo bhī kahtā thā ki us ġham mudāvā nahīñ

dil jalāne ke alāva koī chāra nahīñ

zor-e-vahshat bhī agar kam ho to chalnā hai mudām

sar chhapāne ke liye dasht meñ saaya nahīñ

jal ke ham raakh hue haiñ ki bane haiñ kundan

jauharī ban ke kisī shaḳhs ne parkhā nahīñ

gard-e-shohrat ko bhī dāman se lipaTne na diyā

koī ehsān zamāne uThāyā nahīñ

merī āñkhoñ meñ vahī shauq-e-tamāshā thā 'na.īm'

us ne jhuk kar mirī tasvīr ko dekhā nahīñ

wo bhi kahta tha ki us gham ka mudawa hi nahin

dil jalane ke alawa koi chaara hi nahin

zor-e-wahshat bhi agar kam ho to chalna hai mudam

sar chhapane ke liye dasht mein saya hi nahin

jal ke hum rakh hue hain ki bane hain kundan

jauhari ban ke kisi shaKHs ne parkha hi nahin

gard-e-shohrat ko bhi daman se lipaTne na diya

koi ehsan zamane ka uThaya hi nahin

meri aankhon mein wahi shauq-e-tamasha tha 'naim'

us ne jhuk kar meri taswir ko dekha hi nahin

Source :
  • Book : Kulliyat-e-Hasan Naim (Pg. 142)
  • Author : Ahmad Kafeel
  • Publication : Qaumi Council Baraye Farogh-e-urdu Zaban (2006)
  • Edition : 2006
0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now