kuchh is ada se KHun-e-tamanna kiya gaya
kuchh is adā se ḳhūn-e-tamannā kiyā gayā
jaise mirī taraf se taqāzā kiyā gayā
sach to ye hai ki ġham hī mohabbat kī jaan hai
tere liye ḳhushī ko gavārā kiyā gayā
maiñ apnī ġham-parast tabī'at ko kyā karūñ
jab ḳhud huā na dard to paidā kiyā gayā
utne hī vo giraft-e-nazar se the duur duur
jitnā qarīb jā ke nazārā kiyā gayā
vo hañs diye ki 'arz-e-tamannā fuzūl hai
maiñ is ḳhayāl meñ ki ishārā kiyā gayā
vo ḳhud bhī aap apne hī jalvoñ meñ mahv the
un kī nazar se un kā nazārā kiyā gayā
kuchh is ada se KHun-e-tamanna kiya gaya
jaise meri taraf se taqaza kiya gaya
sach to ye hai ki gham hi mohabbat ki jaan hai
tere liye KHushi ko gawara kiya gaya
main apni gham-parast tabi'at ko kya karun
jab KHud hua na dard to paida kiya gaya
utne hi wo giraft-e-nazar se the dur dur
jitna qarib ja ke nazara kiya gaya
wo hans diye ki 'arz-e-tamanna fuzul hai
main is KHayal mein ki ishaara kiya gaya
wo KHud bhi aap apne hi jalwon mein mahw the
un ki nazar se un ka nazara kiya gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.