dil se us but ke qamar qadr-e-wafa jati rahi
dil se us but ke qamar qadr-e-vafā jaatī rahī
jis havā meñ aap haiñ ab vo havā jaatī rahī
qadr-e-ulfat jab nahīñ yā-rab to ulfat bhī na ho
vo maraz kyuuñ rah gayā jis kī davā jaatī rahī
jins-e-dil mujh ḳhasta-jāñ kī yā shikāyat ġhair kī
aap ne kis chiiz ko hañs kar kahā jaatī rahī
ye havā kaisī chalī yā-rab ki bāġh-e-dahr meñ
phuul baaqī rah ga.ī bū-e-vafā jaatī rahī
haath kyoñ malte ho qatl-e-'āshiq-e-jāñbāz par
phir kahoge shoḳhī-e-rang-e-hinā jaatī rahī
mere bahlāne ko un kī minnatoñ ko hijr meñ
hichkiyāñ aatī rahīñ āh-e-rasā jaatī rahī
vasl-e-jānāñ kī ḳhushī kā ai 'qamar' kyā e'tibār
bārhā qismat meñ aa.ī bār-hā jaatī rahī
dil se us but ke qamar qadr-e-wafa jati rahi
jis hawa mein aap hain ab wo hawa jati rahi
qadr-e-ulfat jab nahin ya-rab to ulfat bhi na ho
wo maraz kyun rah gaya jis ki dawa jati rahi
jins-e-dil mujh KHasta-jaan ki ya shikayat ghair ki
aap ne kis chiz ko hans kar kaha jati rahi
ye hawa kaisi chali ya-rab ki bagh-e-dahr mein
phul baqi rah gai bu-e-wafa jati rahi
hath kyon malte ho qatl-e-'ashiq-e-jaanbaz par
phir kahoge shoKHi-e-rang-e-hina jati rahi
mere bahlane ko un ki minnaton ko hijr mein
hichkiyan aati rahin aah-e-rasa jati rahi
wasl-e-jaanan ki KHushi ka ai 'qamar' kya e'tibar
barha qismat mein aai bar-ha jati rahi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.