teri qurbat bais-e-virani-e-dil ho gai
terī qurbat bā'is-e-vīrānī-e-dil ho ga.ī
sham' ke jalte hue andher mahfil ho ga.ī
apnī barbādī kā ab ehsās tak jaatā rahā
terī marzī jab mirī qismat meñ shāmil ho ga.ī
maut hai terā taġhāful ai nigāh-e-zaḳhm-sāz
ab to bechainī mirī fitrat meñ shāmil ho ga.ī
ḳhush-gumānī par mirī mujh ko milā ye hukm-e-dost
ab tirī ummīd miT jaane ke qābil ho ga.ī
rahm kar mere gudāz-e-qalb par ai chashm-e-husn
terī pahlī hī nazar juzv-e-rag-e-dil ho ga.ī
ho ga.ī āḳhir ko takmīl-e-bahār-e-jāvedāñ
jab nigāh-e-'ishq us jalve meñ shāmil ho ga.ī
dost kyā 'sarḳhush' mirī hālat pe dushman ro diye
zindagī ab pyaar kar lene ke qābil ho ga.ī
teri qurbat ba'is-e-virani-e-dil ho gai
sham' ke jalte hue andher mahfil ho gai
apni barbaadi ka ab ehsas tak jata raha
teri marzi jab meri qismat mein shamil ho gai
maut hai tera taghaful ai nigah-e-zaKHm-saz
ab to bechaini meri fitrat mein shamil ho gai
KHush-gumani par meri mujh ko mila ye hukm-e-dost
ab teri ummid miT jaane ke qabil ho gai
rahm kar mere gudaz-e-qalb par ai chashm-e-husn
teri pahli hi nazar juzw-e-rag-e-dil ho gai
ho gai aaKHir ko takmil-e-bahaar-e-jawedan
jab nigah-e-'ishq us jalwe mein shamil ho gai
dost kya 'sarKHush' meri haalat pe dushman ro diye
zindagi ab pyar kar lene ke qabil ho gai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.