Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

itna nadan nahin hona tha

Harsh Agrawal

itna nadan nahin hona tha

Harsh Agrawal

MORE BYHarsh Agrawal

    itnā nādān nahīñ honā thā

    ḳhud se anjān nahīñ honā thā

    Thiik thā dil kā pareshāñ honā

    dil ko vīrān nahīñ honā thā

    dil meñ ik phuul khilānā thā par

    mujh ko guldān nahīñ honā thā

    dard-e-tanhā.ī aziyyat vahshat

    itnā sāmān nahīñ honā thā

    'ishq gar dil meñ thā behad to phir

    jaanā āsān nahīñ honā thā

    khāyā ik yaad ne mujh ko varna

    itnā nuqsān nahīñ honā thā

    hijr pe hijr kī chāhat ho mujhe

    aisā insān nahīñ honā thā

    jiinā gar 'harsh' kā āsān thā to

    marnā āsān nahīñ honā thā

    itna nadan nahin hona tha

    KHud se anjaan nahin hona tha

    Thik tha dil ka pareshan hona

    dil ko viran nahin hona tha

    dil mein ek phul khilana tha par

    mujh ko guldan nahin hona tha

    dard-e-tanhai aziyyat wahshat

    itna saman nahin hona tha

    'ishq gar dil mein tha behad to phir

    jaana aasan nahin hona tha

    khaya ek yaad ne mujh ko warna

    itna nuqsan nahin hona tha

    hijr pe hijr ki chahat ho mujhe

    aisa insan nahin hona tha

    jina gar 'harsh' ka aasan tha to

    marna aasan nahin hona tha

    Tagged Under

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Click on any word to get its meaning
    Speak Now