Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

wahshat usi se phir bhi wahi yar dekhna

Obaidullah Aleem

wahshat usi se phir bhi wahi yar dekhna

Obaidullah Aleem

MORE BYObaidullah Aleem

    vahshat usī se phir bhī vahī yaar dekhnā

    pāgal ko jaise chāñd dīdār dekhnā

    is hijratī ko kaam huā hai ki raat din

    bas vo charāġh aur vo dīvār dekhnā

    paañv meñ ghūmtī hai zamīñ āsmāñ talak

    is tifl-e-shīr-ḳhvār raftār dekhnā

    yā-rab koī sitāra-e-ummīd phir tulū

    kyā ho ga.e zamīn ke āsār dekhnā

    lagtā hai jaise koī valī hai zuhūr meñ

    ab shaam ko kahīñ koī mai-ḳhvār dekhnā

    is vahshatī haal ajab hai ki us taraf

    jaanā bhī aur jānib-e-pindār dekhnā

    dekhā thā ḳhvāb shā.er-e-momin ne is liye

    ta.abīr meñ milā hameñ talvār dekhnā

    jo dil ko hai ḳhabar kahīñ miltī nahīñ ḳhabar

    har sub.h ik azaab hai aḳhbār dekhnā

    maiñ ne sunā hai qurb-e-qayāmat hai nishāñ

    be-qāmatī pe jubba-o-dastār dekhnā

    sadiyāñ guzar rahī haiñ magar raushnī vahī

    ye sar hai charāġh sar-e-dār dekhnā

    is qāfile ne dekh liyā karbalā din

    ab rah gayā hai shaam bāzār dekhnā

    do chaar ke sivā yahāñ likhtā ġhazal hai kaun

    ye kaun haiñ ye kis ke taraf-dār dekhnā

    wahshat usi se phir bhi wahi yar dekhna

    pagal ko jaise chand ka didar dekhna

    is hijrati ko kaam hua hai ki raat din

    bas wo charagh aur wo diwar dekhna

    panw mein ghumti hai zamin aasman talak

    is tifl-e-shir-KHwar ki raftar dekhna

    ya-rab koi sitara-e-ummid phir tulu

    kya ho gae zamin ke aasar dekhna

    lagta hai jaise koi wali hai zuhur mein

    ab sham ko kahin koi mai-KHwar dekhna

    is wahshati ka haal ajab hai ki us taraf

    jaana bhi aur jaanib-e-pindar dekhna

    dekha tha KHwab shaer-e-momin ne is liye

    tabir mein mila hamein talwar dekhna

    jo dil ko hai KHabar kahin milti nahin KHabar

    har subh ek azab hai aKHbar dekhna

    main ne suna hai qurb-e-qayamat ka hai nishan

    be-qamati pe jubba-o-dastar dekhna

    sadiyan guzar rahi hain magar raushni wahi

    ye sar hai ya charagh sar-e-dar dekhna

    is qafile ne dekh liya karbala ka din

    ab rah gaya hai sham ka bazar dekhna

    do chaar ke siwa yahan likhta ghazal hai kaun

    ye kaun hain ye kis ke taraf-dar dekhna

    Source :
    • Book : Veeran sarai ka diya (Pg. 113)
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now