Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

warasta us se hain ki mohabbat hi kyun na ho

Mirza Ghalib

warasta us se hain ki mohabbat hi kyun na ho

Mirza Ghalib

vārasta us se haiñ ki mohabbat kyuuñ na ho

kiije hamāre saath adāvat kyuuñ na ho

chhoḌā na mujh meñ zo.af ne rañg iḳhtilāt

hai dil pe baar naqsh-e-mohabbat kyuuñ na ho

hai mujh ko tujh se tazkira-e-ġhair gila

har-chand bar-sabīl-e-shikāyat kyuuñ na ho

paidā huī hai kahte haiñ har dard davā

yuuñ ho to chāra-e-ġham-e-ulfat kyuuñ na ho

Daalā na be-kasī ne kisī se muāmla

apne se khīñchtā huuñ ḳhajālat kyuuñ na ho

hai aadmī bajā.e ḳhud ik mahshar-e-ḳhayāl

ham anjuman samajhte haiñ ḳhalvat kyuuñ na ho

hañgāma-e-zabūni-e-himmat hai infi.āl

hāsil na kiije dahr se ibrat kyuuñ na ho

vārastagī bahāna-e-begāngī nahīñ

apne se kar na ġhair se vahshat kyuuñ na ho

miTtā hai faut-e-fursat-e-hastī ġham koī

umr-e-azīz sarf-e-ibādat kyuuñ na ho

us fitna-ḳhū ke dar se ab uThte nahīñ 'asad'

us meñ hamāre sar pe qayāmat kyuuñ na ho

warasta us se hain ki mohabbat hi kyun na ho

kije hamare sath adawat hi kyun na ho

chhoDa na mujh mein zoaf ne rang iKHtilat ka

hai dil pe bar naqsh-e-mohabbat hi kyun na ho

hai mujh ko tujh se tazkira-e-ghair ka gila

har-chand bar-sabil-e-shikayat hi kyun na ho

paida hui hai kahte hain har dard ki dawa

yun ho to chaara-e-gham-e-ulfat hi kyun na ho

Dala na be-kasi ne kisi se muamla

apne se khinchta hun KHajalat hi kyun na ho

hai aadmi bajae KHud ek mahshar-e-KHayal

hum anjuman samajhte hain KHalwat hi kyun na ho

hangama-e-zabuni-e-himmat hai infial

hasil na kije dahr se ibrat hi kyun na ho

warastagi bahana-e-begangi nahin

apne se kar na ghair se wahshat hi kyun na ho

miTta hai faut-e-fursat-e-hasti ka gham koi

umr-e-aziz sarf-e-ibaadat hi kyun na ho

us fitna-KHu ke dar se ab uThte nahin 'asad'

us mein hamare sar pe qayamat hi kyun na ho

Videos
This video is playing from YouTube

Videos
This video is playing from YouTube

Zamarrud Bano

Zamarrud Bano

Zulfiqar Ali Bukhari

Zulfiqar Ali Bukhari

RECITATIONS

Nomaan Shauque

Nomaan Shauque,

00:00/00:00
Nomaan Shauque

warasta us se hain ki mohabbat hi kyun na ho Nomaan Shauque

0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now