tab se aashiq hain hum ai tifl-e-pari-wash tere
tab se aashiq hain hum ai tifl-e-pari-wash tere
Insha Allah Khan Insha
MORE BYInsha Allah Khan Insha
tab se āshiq haiñ ham ai tifl-e-parī-vash tere
jab se maktab meñ tū kahtā thā alif be te se
yaad aatā hai vo harfoñ kā uThānā ab tak
jiim ke peT meñ ek nukta hai aur ḳhālī he
he kī par shakl havāsil kī sī aatī hai nazar
nuqta is par jo lagā ḳhe huā ye vaah be ḳhe
daal bhī chhoTī bahan us kī hai juuñ ātūje
ek parkāla sā beTā bhī hai ghar meñ un ke
re bhī ḳhālī hai aur ze pe hai vo nukta ek
ki mushābah hai jo til se mirī ruḳhsāre ke
scene ḳhālī hai baḌī shiin pe haiñ nuqta tiin
saad aur zaad meñ bas farq hai ik nuqte se
to.e bin turra hai aur zo.e par ik nuqta phir
ain be-aib hai aur kaane miyāñ ġhain hue
fe pe ik nuqta hai aur qaaf pe haiñ nuqta do
kaaf bhī ḳhālī hai aur laam bhī ḳhālī, ye le
miim bhī yuuñ hī hai aur nuun ke andar nuqta
muflisā beg hai ye vaav bhī aur chhoTī he
kyā ḳhalīfa jī ye hai hai hai nahīñ se nikle
aage chhuTTī do ai lo laam alif hamza ye
gāliyāñ terī hī suntā hai ab 'inshā' varna
kis kī tāqat hai alif se jo kahe us ko be
tab se aashiq hain hum ai tifl-e-pari-wash tere
jab se maktab mein tu kahta tha alif be te se
yaad aata hai wo harfon ka uThana ab tak
jim ke peT mein ek nukta hai aur KHali he
he ki par shakl hawasil ki si aati hai nazar
nuqta is par jo laga KHe hua ye wah be KHe
dal bhi chhoTi bahan us ki hai jun aatuje
ek parkala sa beTa bhi hai ghar mein un ke
re bhi KHali hai aur ze pe hai wo nukta ek
ki mushabah hai jo til se meri ruKHsare ke
scene KHali hai baDi shin pe hain nuqta tin
sad aur zad mein bas farq hai ek nuqte se
toe bin turra hai aur zoe par ek nuqta phir
ain be-aib hai aur kane miyan ghain hue
fe pe ek nuqta hai aur qaf pe hain nuqta do
kaf bhi KHali hai aur lam bhi KHali, ye le
mim bhi yun hi hai aur nun ke andar nuqta
muflisa beg hai ye waw bhi aur chhoTi he
kya KHalifa ji ye hai hai hai nahin se nikle
aage chhuTTi do ai lo lam alif hamza ye
galiyan teri hi sunta hai ab 'insha' warna
kis ki taqat hai alif se jo kahe us ko be
- Kulliyat-e-inshaallah khan insha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.