nahin ki pand-o-nasihat ka qaht paD gaya hai
nahīñ ki pand-o-nasīhat kā qaht paḌ gayā hai
hamārī baat meñ barkat kā qaht paḌ gayā hai
to phir ye radd-e-munājāt kī nahūsat kyuuñ
kabhī sunā ki 'ibādat kā qaht paḌ gayā hai?
malāl ye hai ki is par koī malūl nahīñ
hamāre shahr meñ hairat kā qaht paḌ gayā hai
suḳhan kā khokhlā honā samajh se bāhar thā
khulā ki harf kī hurmat kā qaht paḌ gayā hai
kahīñ kahīñ nazar aa.e to aa.e misra-'e-tar
nahīñ to she'r meñ lazzat kā qaht paḌ gayā hai
magar ab aisī bhī koī añdher-nagrī nahīñ
ye Thiik hai ki mohabbat kā qaht paḌ gayā hai
nahīñ maiñ sirf ba-zāhir nahīñ huā vīrān
darūn-e-zāt bhī shiddat kā qaht paḌ gayā hai
nahin ki pand-o-nasihat ka qaht paD gaya hai
hamari baat mein barkat ka qaht paD gaya hai
to phir ye radd-e-munajat ki nahusat kyun
kabhi suna ki 'ibaadat ka qaht paD gaya hai?
malal ye hai ki is par koi malul nahin
hamare shahr mein hairat ka qaht paD gaya hai
suKHan ka khokhla hona samajh se bahar tha
khula ki harf ki hurmat ka qaht paD gaya hai
kahin kahin nazar aae to aae misra-'e-tar
nahin to she'r mein lazzat ka qaht paD gaya hai
magar ab aisi bhi koi andher-nagri nahin
ye Thik hai ki mohabbat ka qaht paD gaya hai
nahin main sirf ba-zahir nahin hua viran
darun-e-zat bhi shiddat ka qaht paD gaya hai
Kum Numa Urdu
Buy This BookAdditional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.