Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

nahin ki pand-o-nasihat ka qaht paD gaya hai

Jawad Sheikh

nahin ki pand-o-nasihat ka qaht paD gaya hai

Jawad Sheikh

nahīñ ki pand-o-nasīhat qaht paḌ gayā hai

hamārī baat meñ barakat qaht paḌ gayā hai

to phir ye radd-e-munājāt nahūsat kyuuñ

kabhī sunā ki ibādat qaht paḌ gayā hai?

malāl ye hai ki is par koī malūl nahīñ

hamāre shahr meñ hairat qaht paḌ gayā hai

suḳhan khokhlā honā samajh se bāhar thā

khulā ki harf hurmat qaht paḌ gayā hai

kahīñ kahīñ nazar aa.e to aa.e misra-e-tar

nahīñ to sher meñ lazzat qaht paḌ gayā hai

nasīb dil ko bhalā kab rahī farāvānī

aur ab to vaise bhī muddat qaht paḌ gayā hai

magar ab aisī bhī koī andher-nagrī nahīñ

ye Thiik hai ki mohabbat qaht paḌ gayā hai

nahīñ maiñ sirf ba-zāhir nahīñ huā vīrān

darūn-e-zāt bhī shiddat qaht paḌ gayā hai

kahāñ ga.iiñ mire gaañv raunaqeñ 'javvād'

to kyā yahāñ bhī rivāyat qaht paḌ gayā hai

nahin ki pand-o-nasihat ka qaht paD gaya hai

hamari baat mein barakat ka qaht paD gaya hai

to phir ye radd-e-munajat ki nahusat kyun

kabhi suna ki ibaadat ka qaht paD gaya hai?

malal ye hai ki is par koi malul nahin

hamare shahr mein hairat ka qaht paD gaya hai

suKHan ka khokhla hona samajh se bahar tha

khula ki harf ki hurmat ka qaht paD gaya hai

kahin kahin nazar aae to aae misra-e-tar

nahin to sher mein lazzat ka qaht paD gaya hai

nasib dil ko bhala kab rahi farawani

aur ab to waise bhi muddat ka qaht paD gaya hai

magar ab aisi bhi koi andher-nagri nahin

ye Thik hai ki mohabbat ka qaht paD gaya hai

nahin main sirf ba-zahir nahin hua viran

darun-e-zat bhi shiddat ka qaht paD gaya hai

kahan gain mere ganw ki raunaqen 'jawwad'

to kya yahan bhi riwayat ka qaht paD gaya hai

Tagged Under

0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now