Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

KHamoshi bohran-e-sada hai tum bhi chup ho hum bhi chup

Parvez Shahidi

KHamoshi bohran-e-sada hai tum bhi chup ho hum bhi chup

Parvez Shahidi

ḳhāmoshī bohrān-e-sadā hai tum bhī chup ho ham bhī chup

sannāTā tak chīḳh rahā hai tum bhī chup ho ham bhī chup

tark-e-ta.alluq kar ke zabāñ se dil jiinā mushkil hai

ye kaisā āhañg-e-vafā hai tum bhī chup ho ham bhī chup

dil vāloñ ḳhāmoshī bār-e-samā.at hotī hai

be-āvāzī karb-e-fazā hai tum bhī chup ho ham bhī chup

bhes badaltī āvāzeñ shām-o-sahar kahlātī hai

vaqt dam kyā TuuT gayā hai tum bhī chup ho ham bhī chup

sakte tak ab aa pahuñchā hai baḌhte baḌhte karb-e-sukūt

hoñToñ par kyā vaqt paḌā hai tum bhī chup ho ham bhī chup

kaisī narmī kaisī saḳhtī lahje kyā baat kareñ

fikr ab ġham-karda sadā hai tum bhī chup ho ham bhī chup

jab tak rāh-e-vafā thī sīdhī zor-e-bayāñ thā aish-e-safar

shāyad koī moḌ aayā hai tum bhī chup ho ham bhī chup

KHamoshi bohran-e-sada hai tum bhi chup ho hum bhi chup

sannaTa tak chiKH raha hai tum bhi chup ho hum bhi chup

tark-e-talluq kar ke zaban se dil ka jina mushkil hai

ye kaisa aahang-e-wafa hai tum bhi chup ho hum bhi chup

dil walon ki KHamoshi hi bar-e-samaat hoti hai

be-awazi karb-e-faza hai tum bhi chup ho hum bhi chup

bhes badalti aawazen hi sham-o-sahar kahlati hai

waqt ka dam kya TuT gaya hai tum bhi chup ho hum bhi chup

sakte tak ab aa pahuncha hai baDhte baDhte karb-e-sukut

honTon par kya waqt paDa hai tum bhi chup ho hum bhi chup

kaisi narmi kaisi saKHti lahje ki kya baat karen

fikr hi ab gham-karda sada hai tum bhi chup ho hum bhi chup

jab tak rah-e-wafa thi sidhi zor-e-bayan tha aish-e-safar

shayad koi moD aaya hai tum bhi chup ho hum bhi chup

Tagged Under

0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now