hazaron dukh paDen sahna mohabbat mar nahin sakti
hazāroñ dukh paḌeñ sahnā mohabbat mar nahīñ saktī
hai tum se bas yahī kahnā mohabbat mar nahīñ saktī
tirā har baar mere ḳhat ko paḌhnā aur ro denā
mirā har baar likh denā mohabbat mar nahīñ saktī
kiyā thā ham ne campus kī nadī par ik hasīñ va.ada
bhale ham ko paḌe marnā mohabbat mar nahīñ saktī
purāne ahd ko jab zinda karne kā ḳhayāl aa.e
mujhe bas itnā likh denā mohabbat mar nahīñ saktī
vo terā hijr kī shab phone rakhne se zarā pahle
bahut rote hue kahnā mohabbat mar nahīñ saktī
ga.e lamhāt fursat ke kahāñ se DhūñD kar lā.ūñ
vo pahroñ haath par likhnā mohabbat mar nahīñ saktī
hazaron dukh paDen sahna mohabbat mar nahin sakti
hai tum se bas yahi kahna mohabbat mar nahin sakti
tera har bar mere KHat ko paDhna aur ro dena
mera har bar likh dena mohabbat mar nahin sakti
kiya tha hum ne campus ki nadi par ek hasin wada
bhale hum ko paDe marna mohabbat mar nahin sakti
purane ahd ko jab zinda karne ka KHayal aae
mujhe bas itna likh dena mohabbat mar nahin sakti
wo tera hijr ki shab phone rakhne se zara pahle
bahut rote hue kahna mohabbat mar nahin sakti
gae lamhat fursat ke kahan se DhunD kar laun
wo pahron hath par likhna mohabbat mar nahin sakti
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.