Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

apne apne rang mein yakta main hi main hun tu hi tu hai

Nooh Narvi

apne apne rang mein yakta main hi main hun tu hi tu hai

Nooh Narvi

apne apne rañg meñ yaktā maiñ maiñ huuñ hai

husn mūrat ishq putlā maiñ maiñ huuñ hai

duniyā se kyā matlab mujh ko aalam se kyā tujh ko ta.alluq

merā dilbar terā shaidā maiñ maiñ huuñ hai

chal kar phir kar dekhā bhālā jāñchā parkhā samjhā būjhā

sab se a.alā sab se adnā maiñ maiñ huuñ hai

zulm se rakkhe kaam hamesha da.ave kartā jaa.e vafā

kaun zamāne meñ hai aisā maiñ maiñ huuñ hai

ḳhūn-e-jigar se qaul rahā ye mere ashk-e-chashm-e-tar

chaḌhtā dariyā bahtā dariyā maiñ maiñ huuñ hai

hai maiñ maiñ huuñ aalam meñ aalam se nirālā

duniyā meñ duniyā se anokhā maiñ maiñ huuñ hai

dil na tujhe lenā thā mujh se jaan mujhe denī thī na tujh par

kaisā duniyā bhar meñ rusvā maiñ maiñ huuñ hai

kaisī azrā kaisī lailā kaisā vāmiq kaisā majnūñ

ab mash.hūr jahāñ meñ kyā kyā maiñ maiñ huuñ hai

yuuñ to haiñ ma.ashūq hazāroñ yuuñ to haiñ lākhoñ āshiq bhī

lekin behtar nādir-e-yaktā maiñ maiñ huuñ hai

'nūh' ye bāteñ miT jā.eñgī tere mere miT jaane se

chāhne vaalā ishq-o-vafā maiñ maiñ huuñ hai

apne apne rang mein yakta main hi main hun tu hi tu hai

husn ki murat ishq ka putla main hi main hun tu hi tu hai

duniya se kya matlab mujh ko aalam se kya tujh ko talluq

mera dilbar tera shaida main hi main hun tu hi tu hai

chal kar phir kar dekha bhaala jaancha parkha samjha bujha

sab se aala sab se adna main hi main hun tu hi tu hai

zulm se rakkhe kaam hamesha dawe karta jae wafa ka

kaun zamane mein hai aisa main hi main hun tu hi tu hai

KHun-e-jigar se qaul raha ye mere ashk-e-chashm-e-tar ka

chaDhta dariya bahta dariya main hi main hun tu hi tu hai

tu hi tu hai main hi main hun aalam mein aalam se nirala

duniya mein duniya se anokha main hi main hun tu hi tu hai

dil na tujhe lena tha mujh se jaan mujhe deni thi na tujh par

kaisa duniya bhar mein ruswa main hi main hun tu hi tu hai

kaisi azra kaisi laila kaisa wamiq kaisa majnun

ab mashhur jahan mein kya kya main hi main hun tu hi tu hai

yun to hain mashuq hazaron yun to hain lakhon aashiq bhi

lekin behtar nadir-e-yakta main hi main hun tu hi tu hai

'nuh' ye baaten miT jaengi tere mere miT jaane se

chahne wala ishq-o-wafa ka main hi main hun tu hi tu hai

Source :

Tagged Under

0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now