Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

us shoKH ne nigah na ki hum bhi chup rahe

Hafeez Jalandhari

us shoKH ne nigah na ki hum bhi chup rahe

Hafeez Jalandhari

us shoḳh ne nigāh na ham bhī chup rahe

ham ne bhī aah aah na ham bhī chup rahe

aayā na un ko ahd-e-mulāqāt lihāz

ham ne bhī koī chaah na ham bhī chup rahe

dekhā kiye hamārī taraf bazm-e-ġhair meñ

tajdīd-e-rasm-o-rāh na ham bhī chup rahe

thā zindagī se baḌh ke hameñ vaz.a ḳhayāl

jab umr ne nibāh na ham bhī chup rahe

ḳhāmosh ho ga.iiñ jo umañgeñ shabāb

phir jur.at-e-gunāh na ham bhī chup rahe

maġhrūr thā kamāl-e-suḳhan par bahut 'hafīz'

ham ne bhī vāh-vāh na ham bhī chup rahe

us shoKH ne nigah na ki hum bhi chup rahe

hum ne bhi aah aah na ki hum bhi chup rahe

aaya na un ko ahd-e-mulaqat ka lihaz

hum ne bhi koi chah na ki hum bhi chup rahe

dekha kiye hamari taraf bazm-e-ghair mein

tajdid-e-rasm-o-rah na ki hum bhi chup rahe

tha zindagi se baDh ke hamein waza ka KHayal

jab umr ne nibah na ki hum bhi chup rahe

KHamosh ho gain jo umangen shabab ki

phir jurat-e-gunah na ki hum bhi chup rahe

maghrur tha kamal-e-suKHan par bahut 'hafiz'

hum ne bhi wah-wah na ki hum bhi chup rahe

Source :
  • Book : Kulliyat-e-Hafeez Jalandhari (Pg. 405)
0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now