Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

usko juda hue bhi zamana bahut hua

Ahmad Faraz

usko juda hue bhi zamana bahut hua

Ahmad Faraz

us ko judā hue bhī zamāna bahut huā

ab kyā kaheñ ye qissa purānā bahut huā

Dhaltī na thī kisī bhī jatan se shab-e-firāq

ai marg-e-nā-gahāñ tirā aanā bahut huā

ham ḳhuld se nikal to ga.e haiñ par ai ḳhudā

itne se vāqiye fasāna bahut huā

ab ham haiñ aur saare zamāne dushmanī

us se zarā rabt baḌhānā bahut huā

ab kyuuñ na zindagī pe mohabbat ko vaar deñ

is āshiqī meñ jaan se jaanā bahut huā

ab tak to dil dil se ta.āruf na ho sakā

maanā ki us se milnā milānā bahut huā

kyā kyā na ham ḳharāb hue haiñ magar ye dil

ai yād-e-yār terā Thikāna bahut huā

kahtā thā nāsehoñ se mire muñh na aa.iyo

phir kyā thā ek bahāna bahut huā

lo phir tire laboñ pe usī bevafā zikr

ahmad-'farāz' tujh se kahā bahut huā

us ko juda hue bhi zamana bahut hua

ab kya kahen ye qissa purana bahut hua

Dhalti na thi kisi bhi jatan se shab-e-firaq

ai marg-e-na-gahan tera aana bahut hua

hum KHuld se nikal to gae hain par ai KHuda

itne se waqiye ka fasana bahut hua

ab hum hain aur sare zamane ki dushmani

us se zara sa rabt baDhana bahut hua

ab kyun na zindagi pe mohabbat ko war den

is aashiqi mein jaan se jaana bahut hua

ab tak to dil ka dil se taaruf na ho saka

mana ki us se milna milana bahut hua

kya kya na hum KHarab hue hain magar ye dil

ai yaad-e-yar tera Thikana bahut hua

kahta tha nasehon se mere munh na aaiyo

phir kya tha ek hu ka bahana bahut hua

lo phir tere labon pe usi bewafa ka zikr

ahmad-'faraaz' tujh se kaha na bahut hua

Videos
This video is playing from YouTube

Videos
This video is playing from YouTube

Bharathi Vishwanathan

Bharathi Vishwanathan

RECITATIONS

Nomaan Shauque

Nomaan Shauque,

00:00/00:00
Nomaan Shauque

usko juda hue bhi zamana bahut hua Nomaan Shauque

Tagged Under

0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now