Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

uski aankhon mein utar jaane ko ji chahta hai

Kafeel Aazar Amrohvi

uski aankhon mein utar jaane ko ji chahta hai

Kafeel Aazar Amrohvi

us āñkhoñ meñ utar jaane ko chāhtā hai

shaam hotī hai to ghar jaane ko chāhtā hai

kisī kam-zarf ko bā-zarf agar kahnā paḌe

aise jiine se to mar jaane ko chāhtā hai

ek ik baat meñ sachchā.ī hai us lekin

apne vā'doñ se mukar jaane ko chāhtā hai

qarz TuuTe hue ḳhvāboñ adā ho jaa.e

zaat meñ apnī bikhar jaane ko chāhtā hai

apnī palkoñ pe sajā.e hue yādoñ ke diye

us nīñdoñ se guzar jaane ko chāhtā hai

ek ujḌe hue vīrān khañDar meñ 'āzar'

nā-munāsib hai magar jaane ko chāhtā hai

us ki aankhon mein utar jaane ko ji chahta hai

sham hoti hai to ghar jaane ko ji chahta hai

kisi kam-zarf ko ba-zarf agar kahna paDe

aise jine se to mar jaane ko ji chahta hai

ek ek baat mein sachchai hai us ki lekin

apne wa'don se mukar jaane ko ji chahta hai

qarz TuTe hue KHwabon ka ada ho jae

zat mein apni bikhar jaane ko ji chahta hai

apni palkon pe sajae hue yaadon ke diye

us ki nindon se guzar jaane ko ji chahta hai

ek ujDe hue viran khanDar mein 'azar'

na-munasib hai magar jaane ko ji chahta hai

Source :
  • Book : Karwaan-e-Ghazal (Pg. 341)
  • Author : Farooq Argali
  • Publication : Farid Book Depot (Pvt.) Ltd (2004)
  • Edition : 2004

Tagged Under

0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now