zara socho main kitna thak gaya hun
zarā socho maiñ kitnā thak gayā huuñ
thake logoñ se kāñdhā māñgtā huuñ
agar ḳhvāboñ kī mujh ko justujū hai
to maiñ phir raat bhar kyuuñ jāgtā huuñ
maiñ ashkoñ se tirā chehra banā kar
zamīñ ko āsmānī kar rahā huuñ
kisī kī aañkh se maiñ qatra qatra
suhānī yaad ban kar bah rahā huuñ
haTā kar aañkh se malba tumhārā
na.e ḳhvāboñ ko rastā de rahā huuñ
zara socho main kitna thak gaya hun
thake logon se kandha mangta hun
agar KHwabon ki mujh ko justuju hai
to main phir raat bhar kyun jagta hun
main ashkon se tera chehra bana kar
zamin ko aasmani kar raha hun
kisi ki aankh se main qatra qatra
suhani yaad ban kar bah raha hun
haTa kar aankh se malba tumhaara
nae KHwabon ko rasta de raha hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.