udasiyon ne meri aatma ko ghera hai
udāsiyoñ ne mirī aatmā ko gherā hai
rū-pahlī chāñdnī hai aur ghup añdherā hai
kahīñ kahīñ koī taara kahīñ kahīñ jugnū
jo merī raat thī vo aap kā saverā hai
qadam qadam pe bagūloñ ko toḌte jaa.eñ
idhar se guzregā tū rāsta ye terā hai
ufuq ke paar jo dekhī hai raushnī tum ne
vo raushnī hai ḳhudā jaane yā añdherā hai
sahar se shaam huī shaam ko ye raat milī
har ek rañg samay kā bahut ghanerā hai
ḳhudā ke vāste ġham ko bhī tum na bahlāo
ise to rahne do merā yahī to merā hai
udasiyon ne meri aatma ko ghera hai
ru-pahli chandni hai aur ghup andhera hai
kahin kahin koi tara kahin kahin jugnu
jo meri raat thi wo aap ka sawera hai
qadam qadam pe bagulon ko toDte jaen
idhar se guzrega tu rasta ye tera hai
ufuq ke par jo dekhi hai raushni tum ne
wo raushni hai KHuda jaane ya andhera hai
sahar se sham hui sham ko ye raat mili
har ek rang samay ka bahut ghanera hai
KHuda ke waste gham ko bhi tum na bahlao
ise to rahne do mera yahi to mera hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.