Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

udas aankhon se aansu nahin nikalte hain

Bashir Badr

udas aankhon se aansu nahin nikalte hain

Bashir Badr

udaas āñkhoñ se aañsū nahīñ nikalte haiñ

ye motiyoñ tarah sīpiyoñ meñ palte haiñ

ghane dhueñ meñ farishte bhī aañkh malte haiñ

tamām raat khujūroñ ke peḌ julte haiñ

maiñ shāhrāh nahīñ rāste patthar huuñ

yahāñ savār bhī paidal utar ke chalte haiñ

unheñ kabhī na batānā maiñ un āñkhoñ meñ

vo log phuul samajh kar mujhe masalte haiñ

ka.ī sitāroñ ko maiñ jāntā huuñ bachpan se

kahīñ bhī jā.ūñ mire saath saath chalte haiñ

ye ek peḌ hai aa is se mil ke ro leñ ham

yahāñ se tere mire rāste badalte haiñ

udas aankhon se aansu nahin nikalte hain

ye motiyon ki tarah sipiyon mein palte hain

ghane dhuen mein farishte bhi aankh malte hain

tamam raat khujuron ke peD julte hain

main shahrah nahin raste ka patthar hun

yahan sawar bhi paidal utar ke chalte hain

unhen kabhi na batana main un ki aankhon mein

wo log phul samajh kar mujhe masalte hain

kai sitaron ko main jaanta hun bachpan se

kahin bhi jaun mere sath sath chalte hain

ye ek peD hai aa is se mil ke ro len hum

yahan se tere mere raste badalte hain

Source :
  • Book : Aamad (Pg. 18)
  • Author : Bashir Badar
  • Publication : M.R. Publications (2009)
  • Edition : 2009
0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now