Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ubur kar na sake hum haden hi aisi thin

Anwar Shuoor

ubur kar na sake hum haden hi aisi thin

Anwar Shuoor

MORE BYAnwar Shuoor

    ubuur kar na sake ham hadeñ aisī thiiñ

    qadam qadam pe yahāñ mushkileñ aisī thiiñ

    vo mujh se ruuTh na jaatī to aur kyā kartī

    mirī ḳhatā.eñ mirī laġhzisheñ aisī thiiñ

    kahīñ dikhā.ī diye ek dūsre ko ham

    to muñh bigāḌ liye ranjisheñ aisī thiiñ

    bahut irāda kyā koī kaam karne

    magar 'amal na huā uljhaneñ aisī thiiñ

    butoñ ke sāmne apnī zabān kyā khultī

    ḳhudā mu'āf kare ḳhvāhisheñ aisī thiiñ

    ubur kar na sake hum haden hi aisi thin

    qadam qadam pe yahan mushkilen hi aisi thin

    wo mujh se ruTh na jati to aur kya karti

    meri KHataen meri laghzishen hi aisi thin

    kahin dikhai diye ek dusre ko hum

    to munh bigaD liye ranjishen hi aisi thin

    bahut irada kya koi kaam karne ka

    magar 'amal na hua uljhanen hi aisi thin

    buton ke samne apni zaban kya khulti

    KHuda mu'af kare KHwahishen hi aisi thin

    Source :
    • Book : Ab Main Aksar Main Nahi Rehta (Pg. 65)
    • Author : Anwar Shaoor
    • Publication : Rekhta Publications (2024)
    • Edition : 3rd
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now