Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

tufan-e-abr-o-baad se har-su nami bhi hai

Akhtar Hoshiyarpuri

tufan-e-abr-o-baad se har-su nami bhi hai

Akhtar Hoshiyarpuri

tūfān-e-abr-o-bād se har-sū namī bhī hai

peḌoñ ke TūTne samāñ dīdanī bhī hai

arzāñ hai apne shahr meñ paanī tarah ḳhuuñ

varna vafā ḳhuun baḌā qīmtī bhī hai

yaaro shaguft-e-gul sadā par chale chalo

dasht-e-junūñ ke moḌ pe kuchh raushnī bhī hai

TuuTe hue makāñ haiñ magar chāñd se makīñ

is shahr-e-ārzū meñ ik aisī galī bhī hai

begāna-vār guzrī chalī rahī hai ziist

muḌ muḌ ke dostoñ tarah dekhtī bhī hai

'aḳhtar' guzarte lamhoñ aahaT pe yuuñ na chauñk

is mātamī julūs meñ ik zindagī bhī hai

tufan-e-abr-o-baad se har-su nami bhi hai

peDon ke TuTne ka saman didani bhi hai

arzan hai apne shahr mein pani ki tarah KHun

warna wafa ka KHun baDa qimti bhi hai

yaro shaguft-e-gul ki sada par chale chalo

dasht-e-junun ke moD pe kuchh raushni bhi hai

TuTe hue makan hain magar chand se makin

is shahr-e-arzu mein ek aisi gali bhi hai

begana-war guzri chali ja rahi hai zist

muD muD ke doston ki tarah dekhti bhi hai

'aKHtar' guzarte lamhon ki aahaT pe yun na chaunk

is matami julus mein ek zindagi bhi hai

Source :
  • Book : Range-e-Gazal (Pg. 116)
  • Author : shahzaad ahmad
  • Publication : Ali Printers, 19-A Abate Road, Lahore (1988)
  • Edition : 1988
0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now