Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

tu nahin to zindagi aazar hai tere baghair

Saib Tonki

tu nahin to zindagi aazar hai tere baghair

Saib Tonki

nahīñ to zindagī āzār hai tere baġhair

zindagī zinda-dilī par baar hai tere baġhair

zindagānī se kise inkār hai tere baġhair

zindagānī hai magar bekār hai tere baġhair

aa ki paiham ab ye hāl-e-zār hai tere baġhair

har-nafas ik tez-rau talvār hai tere baġhair

nañg ho kyuuñ kar na mere vāste duniyā mirī

zindagī merī mujhe ḳhud aar hai tere baġhair

aa tujhe merī qasam mushkil mirī āsān kar

ziist har marhala dushvār hai tere baġhair

pūchhte haiñ log mujh se merī ḳhāmoshī haal

be-zabānī meñ mirī guftār hai tere baġhair

lamha lamha hai kisī be tire sūhān-e-rūh

lamhe lamhe se koī bezār hai tere baġhair

vāsta tujh ko masīhā.ī terī jald aa

naza.a ke aalam meñ ik bīmār hai tere baġhair

fasl-e-gul sab nazar meñ hai magar mere liye

ik ḳhizāñ meñ ālam-e-gulzār hai tere baġhair

ye bajā har gul hai vaj.h-e-zīnat-e-gulshan magar

merī duniyā-e-nazar meñ ḳhaar hai tere baġhair

nuur se ma.amūr hai har gul ba-sahn-e-bostāñ

qatra-e-shabnam nazar meñ taar hai tere baġhair

ye bahārāñ ye shabāb sabza-e-nau-ras na pūchh

baaġh kyā hai ma.adin-e-zañgār hai tere baġhair

is fazā-e-abr meñ ġhusl-e-havā.ī qasam

mauja-e-bād-e-sabā āzār hai tere baġhair

aa ki ye kaalī ghaTā ab tere gesū qasam

ik balā bar-sar-e-kohsār hai tere baġhair

tu nahin to zindagi aazar hai tere baghair

zindagi zinda-dili par bar hai tere baghair

zindagani se kise inkar hai tere baghair

zindagani hai magar bekar hai tere baghair

aa ki paiham ab ye haal-e-zar hai tere baghair

har-nafas ek tez-rau talwar hai tere baghair

nang ho kyun kar na mere waste duniya meri

zindagi meri mujhe KHud aar hai tere baghair

aa tujhe meri qasam mushkil meri aasan kar

zist ka har marhala dushwar hai tere baghair

puchhte hain log mujh se meri KHamoshi ka haal

be-zabani mein meri guftar hai tere baghair

lamha lamha hai kisi ka be tere suhan-e-ruh

lamhe lamhe se koi bezar hai tere baghair

wasta tujh ko masihai ka teri jald aa

naza ke aalam mein ek bimar hai tere baghair

fasl-e-gul sab ki nazar mein hai magar mere liye

ek KHizan mein aalam-e-gulzar hai tere baghair

ye baja har gul hai wajh-e-zinat-e-gulshan magar

meri duniya-e-nazar mein KHar hai tere baghair

nur se mamur hai har gul ba-sahn-e-bostan

qatra-e-shabnam nazar mein tar hai tere baghair

ye bahaaran ye shabab sabza-e-nau-ras na puchh

bagh kya hai madin-e-zangar hai tere baghair

is faza-e-abr mein ghusl-e-hawai ki qasam

mauja-e-baad-e-saba aazar hai tere baghair

aa ki ye kali ghaTa ab tere gesu ki qasam

ek bala si bar-sar-e-kohsar hai tere baghair

Source :
0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now