Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

tu bigaDta bhi hai KHas apne hi andaz ke sath

Ahmad Nadeem Qasmi

tu bigaDta bhi hai KHas apne hi andaz ke sath

Ahmad Nadeem Qasmi

MORE BYAhmad Nadeem Qasmi

    bigaḌtā bhī hai ḳhaas apne andāz ke saath

    phuul khilte haiñ tire sho.ala-e-āvāz ke saath

    ek baar aur bhī kyuuñ arz-e-tamannā na karūñ

    ki inkār bhī kartā hai ajab naaz ke saath

    lai jo TuuTī to sadā aa.ī shikast-e-dil

    rag-e-jāñ koī rishta hai rag-e-sāz ke saath

    pukāre to chamak uThtī haiñ merī āñkheñ

    terī sūrat bhī hai shāmil tirī āvāz ke saath

    jab tak arzāñ hai zamāne meñ kabūtar lahū

    zulm hai rabt rakhūñ gar kisī shahbāz ke saath

    past itnī to na thī merī shikast ai yaaro

    par sameTe haiñ magar hasrat parvāz ke saath

    pahre baiThe haiñ qafas par ki hai sayyād ko vahm

    par-shikastoñ ko bhī ik rabt hai parvāz ke saath

    umr bhar sañg-zanī karte rahe ahl-e-vatan

    ye alag baat ki dafnā.eñge e.azāz ke saath

    tu bigaDta bhi hai KHas apne hi andaz ke sath

    phul khilte hain tere shoala-e-awaz ke sath

    ek bar aur bhi kyun arz-e-tamanna na karun

    ki tu inkar bhi karta hai ajab naz ke sath

    lai jo TuTi to sada aai shikast-e-dil ki

    rag-e-jaan ka koi rishta hai rag-e-saz ke sath

    tu pukare to chamak uThti hain meri aankhen

    teri surat bhi hai shamil teri aawaz ke sath

    jab tak arzan hai zamane mein kabutar ka lahu

    zulm hai rabt rakhun gar kisi shahbaz ke sath

    past itni to na thi meri shikast ai yaro

    par sameTe hain magar hasrat parwaz ke sath

    pahre baiThe hain qafas par ki hai sayyaad ko wahm

    par-shikaston ko bhi ek rabt hai parwaz ke sath

    umr bhar sang-zani karte rahe ahl-e-watan

    ye alag baat ki dafnaenge eazaz ke sath

    Source :
    • Book : kulliyat-e-ahmad nadiim qaasmii (Pg. 121)
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now