kaun kahta hai KHala hai mujh mein
kaun kahtā hai ḳhalā hai mujh meñ
yuuñ to sadiyoñ kā pata hai mujh meñ
raakh hone kā gila kyā kiije
ek sho'la sā dabā hai mujh meñ
jhuuT ke mele lage haiñ lekin
sach abhī tak to bachā hai mujh meñ
dard jab had se guzar kar Thahrā
koī dariyā sā bahā hai mujh meñ
maiñ bhī bāzār nahīñ ho paayā
bas yahī 'aib rahā hai mujh meñ
dard bhī dhīre se muskātā hai
aisī ik narm adā hai mujh meñ
kaun kahta hai KHala hai mujh mein
yun to sadiyon ka pata hai mujh mein
rakh hone ka gila kya kije
ek sho'la sa daba hai mujh mein
jhuT ke mele lage hain lekin
sach abhi tak to bacha hai mujh mein
dard jab had se guzar kar Thahra
koi dariya sa baha hai mujh mein
main bhi bazar nahin ho paya
bas yahi 'aib raha hai mujh mein
dard bhi dhire se muskata hai
aisi ek narm ada hai mujh mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.