Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

teri gali mein tamasha kiye zamana hua

Qaisarul Jafri

teri gali mein tamasha kiye zamana hua

Qaisarul Jafri

tirī galī meñ tamāshā kiye zamāna huā

phir is ke ba.ad na aanā huā na jaanā huā

kuchh itnā TuuT ke chāhā thā mere dil ne use

vo shaḳhs merī muravvat meñ bevafā na huā

havā ḳhafā thī magar itnī sañg-dil bhī na thī

hamīñ ko sham.a jalāne hausla na huā

mire ḳhulūs saiqal-garī bhī haar ga.ī

vo jaane kaun patthar thā ā.īna na huā

maiñ zahr piitā rahā zindagī ke hāthoñ se

ye aur baat hai merā badan harā na huā

shu.ūr chāhiye tartīb-e-ḳhār-o-ḳhas ke liye

qafas ko toḌ ke rakkhā to āshiyāna huā

hamāre gaañv miTTī ret jaisī thī

ye ek raat sailāb to bahāna huā

kisī ke saath ga.iiñ dil dhaḌkaneñ 'qaisar'

phir is ke ba.ad mohabbat hādisa na huā

teri gali mein tamasha kiye zamana hua

phir is ke baad na aana hua na jaana hua

kuchh itna TuT ke chaha tha mere dil ne use

wo shaKHs meri murawwat mein bewafa na hua

hawa KHafa thi magar itni sang-dil bhi na thi

hamin ko shama jalane ka hausla na hua

mere KHulus ki saiqal-gari bhi haar gai

wo jaane kaun sa patthar tha aaina na hua

main zahr pita raha zindagi ke hathon se

ye aur baat hai mera badan hara na hua

shuur chahiye tartib-e-KHar-o-KHas ke liye

qafas ko toD ke rakkha to aashiyana hua

hamare ganw ki miTTi hi ret jaisi thi

ye ek raat ka sailab to bahana hua

kisi ke sath gain dil ki dhaDkanen 'qaisar'

phir is ke baad mohabbat ka hadisa na hua

Source :
  • Book : Agar Darya Mila Hota (Pg. 106)
  • Author : Qaisar-ul-Jafari
  • Publication : Faran Publishers Mumbai (2005)
  • Edition : 2005
0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now